Home






Ilm un Nafs Kia hai ?

Mukhtaleef aqwam isay mukhtaleef naamoo se janti hai , angraiz isay Breathing exercise kehtay hain , Sanskrit main Pranayama Ya Sur Vidha  , Arabon main Ilm un nafs yanay saans ka ilm kehtay hain  , Durasl is ilm ka talluq humari roz marrah ki saans se hai. Rawani e Nafs ka naam zindagi hai , aur iskay bnd honay ka naam mout hai , phir kuch samajh main nahi aata keh woh cheez jis ka inhessaar zeest o marg per hai , woh bajaaey khood aik ajeeb o gareeb shay kiyun na ho . Yeh Aur baat hai keh humari he naqis o na mukammal aqal is guthi ko na suljha sakay keh is main kia kia khawas mojood hain .






Surah-e-Rehman | Ghazab Ka Amal e Taskheer |

Guzishta chand dinon mein kae hazraat ny ba zariya Email aisay amal ki farmaaish ki thi jis se taskheer e khaas o aam haasil ho aur amal  Mujarib bhi ho. bay shumaar aamaal taskheer mein se is Nayaab amal e taskheer ka Intikhab kar kay qar’a-in ki khidmat mein paish karne ki Sa’adat haasil kar rahay hain .




Falsafa e Amaliyat

Amaliyat ka falsafa , amaliyat kya hai ? pareshani ka ilaj , roohanialoom se sawalon kay jawab, amal kamiyab hoga ya nahi? , pareshani door karnay wala kon hai ? , karobar main bandish ki haqeeqat kia hai ? In tamam sawalat kay baray main meri 30 saala tehqeeq ka nichor pesh e khidmat hai .