Falsafa e Amaliyat

parehsani ka hal

     Amaliyat ka falsafa
Kisi poday ki nasho numa, Is ki dekh bhaal, Is ki tar-o-tazgi ke falsafa par agar gehri nazar daali jaye tu ilm hoga ke is poday ke tukham ko zameen quwat numoo deti hai, hawa, dhoop, Sooraj , chaand , barish waghera sab mil kar is ki tar-o-tazgi aur parwarish ka samaan muhayya karte hain. Mazeed gaur kiya jaye to kaha ja sakta hai ke zameen poday ki maa hai jab kay deegar taqattein nasho numa mein is ki Mua-win hain. Agar poday ko zameen se nikaal diya jaye. Agar usay deegar muawnin se yani chaand Sooraj, waghera se mehroom kar diya jaye to poda yaqeenan khatam hojaye ga. Har aik jaanta hai ke poday ki parwarish mein in tamam ka hona zaroori hai .

     Ab zara doosray zawiye se dekhiye.
Jab kisi poday mein quwat e numoo aur taaqat , kashish baqi nah rahay to yeh quwatein jo kal tak nashonuma mein is ki Muawin thi aaj is poday ko galanay Sarrane mein madad karein gi , kal tak Sooraj ki kirnein is ke liye hayaat o tar-o-tazgi ka sabab thi,  aaj wohi dhoop is ko khushk karne ka feal anjaam dey rahay hai, kal tak zameen is poday ko apni agosh mein le kar tar o tazah rakh rahi thi, Aaj wohi zameen usay gala sarra rahi hai kal tak is poday ko zameen se Alaiheda nahi kiya ja raha tha ke yeh khatam nah hojaye lekin aaj is ki lakri ko zameen se bachaaya ja raha hai taakay galnay aur sarnay se mehfooz rahay .

     Nateeja
Is falsafah se yeh baat ayaan hoti hai kal tak jo taqattein baais e tar-o-tazgi o quwat e hayaat ki zamanat thein aaj wohi quwatein nuqsaan ka moajjab hain. yahi falsafah tamam ajsaam, tamam halaat par haawi hai . Is misaal par zara aur ghor karein to samajh aeye ga ke woh poda jis mein yeh quwat e kashish baqi hai Sooraj is ke liye hayaat javedani ka Mazhar hai jab kay woh poda jis mein quwat e kashish baqi nahi Sooraj is ke liye nuqsaan ka mujab hai, Halaan ke Sooraj wohi hai, zameen wohi hai, poda wohi hai, tukham wohi hai, baagh wohi hai, yahan aik hi baat samajh mein aeye gi ke khushk honay walay poday se woh maaddah he khatam ho chuka hai jis se woh tar-o-tazgi deegar taqaton se haasil kar pa raha tha.

 

     Pareshani ka ilaj   
Aksar Ehbaab Free Roohani Service se Istifada karte huway apne sawalaat rawana karte hain jin mein aksar sawalaat ki noiyat kuch yunh hoti hai ke hamara kaarobar jo acha khaasa chal raha tha band hogaya hai. Halaan ke yahi kaam deegar hazraat bhi kar rahay hain aur munafa haasil kar rahay hain. baaz ka sawal hota hai ke kal tak jo hamaray Aziz they aaj dushmani par utar aeye hain baaz kehte hain ke har kaam mein rukawat ho rahi hai hum jis kaam mein haath daaltay hain rukawat hoti hai balkay bajaye faida ke nuqsaan hojata hai .

     Karobar mein bandish ki haqeeqat
Aisay tamam hazraat mandarja baala poday ki misaal par ghor kar ke nateeja akhaz kar satke hain. haqeeqat to yeh hai ke is kaarobar mein naffa ka maadah khatam nahi huwa. aap ke Aziz o Iqareb jallad o Sitamger hargiz nahi ban gaye hain. Yeh tamam pareshani sirf isi wajah se peda ho rahi hai ke khud aap ki apni taqdeer gardish mein hai aap ke Siyargan aap par nahusat zahir kar rahay hain ya yun samajh len ke mojooda waqt aap ke khilaaf hai. Jis tarha hamari bayan kar da misaal mein poday mein quwat kashish baqi nahi rahi yahi haal aap ka bhi hai. log kehte hain ke zamana badal gaya hai haqeeqat yeh hai ke zamana nahi badla balkay hum badal gaye hain, zamana hum se hai na ke hum zamane se, jo cheeze ya Insaan hamein nuqsaan pouncha rahay hain un mein ab bhi khair ki quwat mojood hai aur doosray log ab bhi un se naffa haasil kar rahay hain lekin hamari gardish ny hum mein se is quwat ka khatima kar diya hai .

     Pareshani door karne wala
Ab zara is falsafah ka Tesra rukh bhi mulahiza kijiyej. Maali ny aik poday ko murjhaya howa dekha is poday ki pasmurdaghi dor karne ki tadabeer ikhtiyar karne laga. Ird gird ki ghaas saaf ki. zameen ko naram kya. usay khad diya, pani diya, murjhaye hui shaakhen kaat den, maali ki husn e tadbeer ny murda poday ko hayaat e no bakhsh di ab phir wohi poda lehlahane laga phir wohi quwatein jo usay pasmurdah kar rahay thein tar o tazah karne lagein. Insaan ki pareshaaniya aur be sar o samani dur karne wala maali khuda ka muqaddas kalaam hai jis ke asraat se woh quwatein jo hamein pareshan karne par tuli hui thein ab samaan e jamiat ban rahi hain, Jis tarha maali poday ko tar o tazah karne ke liye mukhtalif tadabeer ikhtiyar karta hai is tarha amliyaat ke zariye mukhtalif tadbeerein ki jati hain taakay pareshani se nijaat haasil ho kar raahat ka husool mumkin ho.

     Amal Kamiyab Hoga Ya Nahi ? .
Ab is falsafah ka chotha (4) rukh mulahiza kijiye. Poda murjhaa raha hai, maali tar o tazah karne ki saee kar raha hai, lekin poday ki taaqat nasho numa khatam ho chuki hai koi tadbeer kargar nahi ho pa rahi hai, bawajood hama koshish ke poda roz ba roz murjhaya chala ja raha hai yahan tak ke khushk ho kar fanaa ho jata hai. Maali ko pehlay ilm nah tha aur nah hi qudrat ny yeh ilm diya hai agar maali samajh le ke har pasmurdah honay wala poda bil akhir fanaa hojaye ga tu hazaron darakht qabal Az waqt khushk ho jatay. Halaankeh maali ki saae o tadbeer tamam podoun ko pasmurdaghi se mehfooz rakh sakti tu aaj kisi baagh mein sukhey hue darakhton ka Pata tak nah hota. Yeh darakht sarsabz hoga ya nahi.  Yeh nateeja  e tadbeer hai. Yahi haal amliyaat o tawezat ka hai. kisi ko kuch ilm nahi ke is amal ka kia nateeja hoga. bas Taqazaey Danish yahi hai ke hum pareshani, saubat, aur har tashweesh ko Aarzi samajte hue is ke door karne ki koshish karen .

     Meri 30 Saala Tehqeeq Ka Nichor .
Mera apna Tarjurbah hai ke baaz auqaat kisi saail ke silsilay mein ki gayi mamooli si tadbeer husool raahat ka baais banti hai. Lekin baaz auqaat tamam ki tamam tadabeer ka nateeja sifar rehta hai .
Mazmoon ke ekhtataam par aik ahem baat karna chaahun ga ke aksar hazraat ko tadbeer ke taur par koi amal bataya jata hai ya woh roohanialoom kay blog mein shaya honay walay amal ko karna chahtay hain to aksar hazraat free Rohani service ke tehat sawal karte hain ke amal ka nateeja kya hoga?  mere nazdeek yeh intahi fuzool tareen sawal hai. Kisi adalat mein kisi muqadma ki binaa par saza suna di gayi. ab haakim e aala ko reham ki darkhwast di gayi. Yeh reham ki darkhwast kisi qanoon ke matehat paish nahi hoti .

 

     Amal Kya Hai ?
Amal kya hai?  Baargaah e Ahkam Ul hakimeen mein reham ki darkhwast. Dunyawi ilm ki tag o po se khudaay-e rab Zuljalal ki Zaat e Aqdas baala tar hai. To phir aap he bataaiye ke woh konsa ilm hai jo Khuday-e-Pak ke iraadon ko maloom kar sakay?

 

     Roohanialoom se sawalon kay jawab .
Ilm e Najoom, Ilm e Ramal , Ilm e jafar ,  Saa-at , waghera se wajah e gardish maloom ho sakti hai ke yeh aloom bamanzilah adalaton ka darjah rakhtay hain. Jahan qanoon aur waqeat par behas ki jati hai lekin amal aur is ki quwat un tamam aloom ki hadd se bahar hai amal ka talluq adalat e Ahkem Ul Hakimeen se hai aur wohi apne iraadon aur ehkaam ko khud he khoob jaanta hai. Hum aur hamaray mehdood aloom is ki zaat tak pounchanay se qassir hain .

 

     Ud’uni Astajib Lakum
Adalat e Ahkem Ul hakimeen se aik hukum jari huwa jis mein elaan kya gaya ke mujh se dua karo , mein qubool karoon ga . Yeh elaan sacha hai haq hai, yeh haq har mangnay walay ko diya jata hai, taa qayamat is ke aaien mein tarmeem nahi hogi. Her amal ka asar murattab hota hai baaz auqaat asar zahir honay mein deir hoti hai kyun?. is falsafah ko Sheikh Saadi (R.A) yunh bayan farmatay hain

“Pidar ra asal bisyaar ast. walakin mizaaj pasar garmi dar ast”

Is fiqra mein tamam kainaat ka falsafah samaitt liya gaya hai agar mizaaj mein garmi nahi tu shehad (honey) forun day diya jata hai. Agar garmi hai to garmi jab tak door nahi hojati multawi kya jata hai lekin miley ga zaroor.
Aliyati tajurbah mujhe yeh batata hai ke bohat se ahbaab qanoon e amal ka paas nahi karte , bohat se amal ka sahih istemaal nahi karte , shoq tu be shumaar ashaab ko hai lekin sawari mustaqil mizaji se woh ashaab nahi karte .

     24 Ghantay main asar karnay wala amal .
Logon ny samajh liya hai ke amal ka matlab hai ke do teen roz kisi amal ko kya aur hasb e Mansha kamiyab hogaye. Halaan k amal aik mushkil shahrah hai jis par chal kar kamiyabi ki had tak pohanchna aasan kaam nahi. Jis tarha aap duniya ke kaam karte hain phir samar milta hai isi tarha amliyaat mein bhi sakht mehnat karna parrti hai. Amal sur e ghaib hai. Aur hargiz hargiz asar se khaali nahi hai. Haan is ke qawaid zaroor hain. be-qaida koi bhi amal asar nahi karta. Baaz kehte hain ke mujhe koi aisa aasan amal diya jaye jo do din mein nateeja bar-aamad karde. Amal aasan ho kyunkay mein beron mulk muqeem hoon.  Mera jawab yahi hota hai ke bhai aap beron e mulk muqeem ho kar pait ka eendhan bujhanay ke liye sab se mushkil kaam kar satke hain aur amal mein aasani ke talab gar hain?. Kya aap jis jagah mulazmat kar rahay ho un se yeh kaho, ke mujh se mahinay bhar ka kaam do din mein lay lein aur mujhe tankhua aik mah ki day dein , jab aap yeh moahida apne muqarrar kardah kaam mein karne mein kamyaab ho jaaingay to mein bhi 24 ghantay mein asar karne wala amal bata doonga.

 

1 Comment on "Falsafa e Amaliyat"

  1. Bohat hee aala zabardas

Comments are closed.