Daulat Kay Husool Ka Jafri Amal – Sharf e Zohra 2018

     Sharf e zohra 2018 aur husool e daulat ka amal

Yeh amal pehli martaba shaya kiya ja raha hai maazi main yeh amal meray nehayat muhtram dost janab Syed Muhammad Ajmal Sahb aur meray zaati istemal main raha , mukhtalif tajarubat kay baad jis tarkeeb o tarteeb ko moassir paaya yahaan bila tashreeh kay darj kar raha hoon .
Yeh amal sharf e zohra kay auqaat main tayaar kiya ja sakta hai  .

Is amal ki taiyari kay liye mukhtalif ayaat e khudawandi ko istemal kartay huway tajarbat kiye gaey , jin main Surah e Tauba ki akhri do ayaat , Surah e Aal e Imran ki ayaat e mubarika 26, 27 isi tarha surah e mazkoora ki ayat 14 ko shamil kiya gaya .
Humaray Tajarubat o mushahidat kay mutabiq tamam ayaat se he asar zahir hua lekin jo nataeej surah e mubarika tauba ki ayaat 128 – 129 kay zahir huway woh kaafi heran kun rahay .
Aap apnay maqsad ya wird kay mutabiq ayaat ka intekhab kar saktay hain .
Sub se pehlay naqsh ki chaal ko mulahiza kijiye

Kul 4 adwaar per mushtamil naqsh hai . Khana number 1 main Ism ” Wahab ” kay adaad tehreer kiye jaaingay .
Khana number 2,3 aur 4 main 14 , 14 adad ka izafa kartay huway yeh khaanay pur kiye jayenge .
Yaani khana number 2 main 28 , 3 main 42 aur 4 main 56.
Aik Daur Mukammal hua .

Khana Number 5 se khana number 8 main Ism e Talib + Is e walida e talib kay adaad isi tareeq per tehreer kiye jaaingay .
Maslan ager naam e taalib o walida kay adaad 199 hain to khana number 5 main 199 , 6 main 231 , 7 main 227 aur 8 main 241 adaad likhay jaaingay .
Doosra daur bhi mukammal hua .

Ab teesra daur mukammal karne kay liye khana number 9 se 12 ko pur kiya jaye ga
Is Khana ko pur karnay kay liye aap apni aqal e saleem ko istemal kartay huway jo aap ka maqsad ho isay mukhtasiran likhein aur adaad e abjad e qamri hasil kar lein .
Hum is daur main ” Rafi ud-Darajat ” . رفيع الدرجات  kay adaad pur kartay hain jo keh 999 hain .
Khana number 9 main 999 , khana number 10 main 1013 , khana number 11 main 1027 aur khana number 12 main 1041 tehreer karein gay ( Ager maqsad Rafi ud darajaat he ho to )
Teesra daur bhi mukammal hua .

Ab choutha daur mukammal karnay kay liye , aap ko is ayat kay adaad ko mad e nazar rakhna hoga jo aap istemal kar rahay hain .
Maslan hum surah e tauba ki ayat 128 – 129 ka ager istemal kartay hain to aisi surat main in do ayaat kay adaad abjad e qamri 6779 hain .
Mazeed 4 khanay pur karnay kay liye hum khana number 4 , khana number 7 aur khana number 10 kay adaad ko ba-hum jama karkay ayaat kay adaad se nafi ( minus ) kar deingay .
Misaal e mazkura baala kay mutabiq khana number 4 kay adaad 56 , 7 kay 227 , aur 10 kay 1013 hain . In ko ba-hum jama kiya to hasil 1296 hua .
In adaad yaani 1296 ko humnay ayaat e mubarika kay adaad 6779 se minus kiya to adad 5483 hasil huway .
Yaani khana number 13 main 5483 lilkheingay , phir 14 adad ka izafa kartay huway khana number 14 main 5497 , khana number 15 main 5511 aur khana number 16 main 5525 tehreer kartay huway naqsh ko mukammal karleingay .
Naqsh kay oopar 786 likheingay . Charon janib ism ” Ya Wahab” . یا وھاب  tehreer kareingay
Naqsh kay azlaa , malaaika , aur khuddam ka bhi lehaaz rakha jaaey ga .
Aur naqsh ki pusht per ism e wahab ka harfi naqsh atishi chal se tehreer kia jaaey ga .

     Ism-e-Wahab Ka Harfi Naqsh

 

Kisi bhi sabab ager isay khood apnay liye tayar na kar sakein aur hum se barah e rast tayar karwana chahay to hadyatan talb kar sakta hai . Mazeem Malumat kay liye Contact-us ka form fill karkay submit karein.

     Kya Aap Jantay Hain ?

Sayara e zohra kay sharf main , Taskheer e khalaiq kay liye bhi moassir jafri amal tayar kiya ja sakta hai , Tafseeli malumat kay liye yahaan Click karein .

 

1 Comment on "Daulat Kay Husool Ka Jafri Amal – Sharf e Zohra 2018"

  1. Muhammad Yousaf S/o Abdul Khaliq Shah | September 3, 2018 at 10:02 am |

    Name: Muhammad Yousuf
    S/O: Abdul Khaliq Shah
    Date of Birth: 20.03.1962
    Male
    Muslim
    email: [email protected]
    Please guide me. I am always in trouble.

Comments are closed.