Ilm ki Dunya – 38 Sunehri Batein

     Sunehri Batein

1 Ilm woh khazana hai jo hamesha sath rehta hai .

2 Apne oopar bharosa karna aqalmandi hai.

3 Apni raye ka azaadi se istemaal karo .

4 Apne faislay par qaim raho .

5 Waqt hamesha aik jaissa nahi rehta.

6 Naya tajurbah zindagi mein naya nikhaar lata hai .

7 Tehreer aik khamosh aawaz hai aur qalam haath ki zabaan .

8 Kahili se dil o dimagh nakara ho kar rahay jatay hain .

9 Safai aur pakizgee imaan ki alamat hai .

10 Cheezon par bharosa karne se ghuroor peda hota hai .

11 Mohabbat aur khuloos se dushman dost ban jatay hain .

12 Umeed roshni aur na umeedi andhera hai .

13 Buri sohbat mustaqbil barbaad kar deti hai

14 Mulazmat se tijarat behtar hai .

15 Jhutay aadmi par suchi baat ka yaqeen karna mushkil hai .

16 Kamyabi ke liye mehnat aur lagan zurori hai .

17 Allah ke siwa kisi dosray ke samnay sur nahi jhukana chahiye .

18 Saleh khayalat, maqsad ko poora karte hain .

19 Zabaan Darazi aur nuqta cheeni karne se badnami millti hai .

20 Khushi tu insaan ke apne saaye se mushaba hai hum jitna is ke peechay bhagtay hain woh itna he hum se dor hojati hai .

21 Zindagi mein jaddo jehed, mushkilaat aur museebatein, pareshaaniya. mayoos karne ke liye nahi, balkay ghair mamooli  himmat, tajurbah aur taaqat dainay ke liye aati hain .

22 Shak aur khauf se bhara dil, mutfakir khayalat aur dimagh mein uthta howa tufaan, kabhi kisi kaam ko mukammal ya sukoon se nahi honay dega .

23 Hum apne faislay tab badaltey hain jab hum apne maqsad mein nakaam, mayoos aur be chain ho jatay hain phir hum is marhalay par kuch bhi kar guzarnay ke liye tayyar ho jatay hain .

24 Yeh baat hamesha yaad rakhna chahiye ke nakami girnay mein nahi balkay gir kar nah uthnay mein hai .

25 Jis qader zulm aur museebatein tum bardasht karte ho un sab mein tumhara sabar aur imaan zahir hota hai .

26 Jo museebat tum par aati hai woh tumahray he aamaal ka nateeja hoti hain .

27 Taleem ke sath amal aur dulat ke sath sharafat nah ho to dono be kar hain .

28 Dolat se zeywarat khareeday ja satke hain husn aur sahet nahi .

29 Dolat se khoshamad kharidi ja sakti hai mohabbat aur khuloos nahi .

30 Dolat se kitaaben khridi ja sakti hain ilm o fazal nahi .

31 Dolat se naram bistar khareeda ja sakta hai meethi neend nahi .

32 Insaan ki guftagu is ke dil ke aaina ki tarjuman hoti hai .

33 mubarak hain woh log jo mushkilaat mein bhi neki ki tadbeer karte hain .

34 Bura dost aag ke is darakht ki manind hai jis ka aik hissa dosray hissa ko jala deta hai .

35 Dil se mohabbat ka haal pucho, is liye ke dil he aik aisa gawah hai jo rishwat nahi laita .

36 Hazaron khatraat mein bhi gir kar insaan ko apna kirdaar nahi badalna chahiye .

37 Safar ke rastay se pehlay saathi ko aur ghar se pehlay parosi ko dekho .

38 Khoobiyan bazaar mein nahi biktein khoobiyan apne andar khud peda ki jati hain .