Surah-e-Rehman | Ghazab Ka Amal e Taskheer |

     Ghazab ka Amal e Taskheer 

Yeh amal May 2009 main Roohanialoom urdu version per publish kya gaya tha , Urdu parhnay walay hazrat yahaan click karkay parh saktay hain

Ab isi amal ko Roman-Urdu main shaya kya ja raha hai .

Guzishta chand dinon mein kae hazraat ny ba zariya Email aisay amal ki farmaaish ki thi jis se taskheer e khaas o aam haasil ho aur amal  Mujarib bhi ho. bay shumaar aamaal taskheer mein se is Nayaab amal e taskheer ka Intikhab kar kay qar’a-in ki khidmat mein paish karne ki Sa’adat haasil kar rahay hain .

     Amal ki khasiyat   

Is Amal ki badolat woh tamam afraad jin ka talluq awam se hai jaisay  doctors, wakalat kay peshay se talluq rakhne walay hazraat, Dukandar Hazraat,  Aamilin o Munajjamin, property ka kaam karne walay, waghera . Shartiya kamyabi haasil kar saktay hain .

Agar aap Doctor hain to aap ke paas mareezon ka hajoom Ikat-tha hona shuru hojaye ga aur maqool aamdani ka zariya banay ga, isi tarha aamlin o Munajjamin hazraat ke paas dur Darraz say log aana shuru ho jaien ge. matlab yeh hai ke is amal se aik na maloom kashish kay sabab samnay wala khincha chala aata hai jo har qisam kay karobari afraad ke liye munafay ka baais saabit hota hai.

     Shoqiya Kiya Jaaey to ? 

Agar aap Shoqiya bhi is amal ko parhna shuru kar den to aik hajoom aap ke ghar par Ahbaab ka laga rahay ga amal e haza Ba-Ijazat haasil huwa tha lehaza aap tamam hazraat ko khuloos e dil se amal ki ijazat di jati hai aur jo sharaeet bayan ki jati hain un ke mutabiq amal pera hon ziyada se ziyada aap ko is amal ko Anjaam dainay mein (5) minute ka waqt darkaar hoga aur faida is qadar haasil hoga ke aap ki soch o gumaan se baala tar hoga .

     Amal ka tareeqa nehayat asaan hai 

Agar aap Hafiz e quran hain to bohat behtar. warna awwal Surah e Rehman zabani khoob achi tarha yaad karlein, rozana jab tulu e aftaab ho is ke paanch (5) minute baad ( tulu aftaab ka waqt muqami akhbar se dekhen ya phir google per sunrise aagay apnay sheher ka naam likh kar search kar lein ) Suraj ke samnay munh kar ke Surah-e-Rehman ki tilawat karna shuru kar dein jab (Fabi ayyi aalaaa’i Rabbikumaa tukazzibaan) Par pohnchein to dahinay haath (right hand) ki angusht shahadat wali ungli (first finger)  Sooraj ki janib kar dein isi tarha har martaba jab (Fabi ayyi aalaaa’i Rabbikumaa tukazzibaan) par pohnchein to ungli se Sooraj ki janib ishara kar diya karein .

Ziyada se ziyada paanch (5) minute ka waqt darkaar hoga is amal ki tilawat ke liye. Aik hafta ke baad taskheer e Khalq ke asraat zahir hona shuru ho jaien ge lekin yaad rakhein ab tak sirf zakat ada hui hai aap is par iktafa nah karein bulkeh amal ko jari rakhein aur mazeed 40 din tak isi tarha parhtay rahein barri aasani se baad e namaz e Fajar is amal ko Anjaam diya ja sakta hai .

Aik  chilla ( 40 din ) mein aam makhlooq ki aamad shuru hojati hai. Doossra chilla kareingay to khaas khaas logon ki taskheer shuru hogi. Teesray chillay mein raeesaon , jagir-daroon aur Aala Ohday-Daraan ki taskheer aur Chouthay chillay ke baad raat din makhlooq ka hajoom laga rehta hai .

Yeh tamam afraad aap ki kahi hui baat ko radd nahi kareingay bulkeh tameel bajaa lanay mein khushi mehsoos kareingay . agar aap ki dukaan hai to log khud bakhud aap ki dukaan par khich kar ayen ge.

Khayaal rahay ke amal aisay ayyaam mein kya jaye ke asmaan per umoomi ziada badal na rehtay hon lehaza behtar hai ke garmi ka mausam is amal ko karne ke liye Intikhab kiya jaye .

Koi baat ager samajh na aayi ho to rabta karkay maloom kar saktay hain

comment karein ya phir contact form fill karkay submit karein

7 Comments on "Surah-e-Rehman | Ghazab Ka Amal e Taskheer |"

  1. Kya ladies is Amal kho kar sakti heen a
    Agar haan tu maqsoos dinno main kya Karen gay

    • khawateen kay liye 40 youm jaari rakhna mumkin nahi , Lehaza amal nahi kiya ja sakta.

  2. اسلام و علیکم سر اگر سورج 10 منٹ کے بعد نظر آئے تو کیا کریں
    کیونکہ آج تیسرا دن ہے جب چلا مکمل ہوجائے تب نظر آتا ہے یا چلا ختم ہونے سے 1-2 منٹ پہلے

    • وعلیکم السلام ۔ عمل کے لئے موسم و مقام کا انتخاب ضروری ہے ۔ سورج ہر صورت بروقت نظر آنا چاہئے ۔ مطلع ابر آلود ہونے کی صورت میں عمل باطل سمجھیں ۔

  3. Agar mobile say dekh kar parh lay zubani yaad na ho tu

  4. Naveed ahmed
    Azad kashmir rawalakot

Comments are closed.