Surah Al Qadr – Inna Anzalna Ki Roohani Angoothi

     Ilm e Jafar Asaar ka aik khaas qaida 

Ilm e Jafar Akhbar kay tehat taqreeban har mah aap ki khidmat mein anmol heeray paish karne ki koshish karta rehta hon. Is martaba Ilm e jafar asaar se mansoob aik khaas qaida paish karnay ja raha hon. Yem amal , kamil Roohani Ustaad Mirza Mehmood shafaq Rampuri ka bayan karda hai.

Woh likhte hain keh baab e qawi ashra ilm e jafar mein aik khaas rukn hai. Yeh qanoon mustehsila mein barray kaam aata hai lekin ilm e jafar asaar mein bhi nihayat moassar tareeq hai. Aur yeh aik taweel bayan hai jisay mufassil bayan karne kay liye Zakheem kitaab ki zaroorat hai.

Is Qaeday ko hul karnay kay liye Abjad e Shamsi ki zarurat hogi jo yahaan darj ki ja rahi hai.

     Abjad e Shamsi   

ر ذ د خ ح ج ث ت ب ا
10 9 8 7 6 5 4 3 2 1
ف غ ع ظ ط ض ص ش س ز
200 100 90 80 70 60 50 40 30 20
۔۔۔ ۔۔۔ ی ھ و ن م ل ک ق
۔۔۔ ۔۔۔ 1000 900 800 700 600 500 400 300

 

 

Mein aik hissa sirf asaar ka bayan karta hun is hissay ka naam baab e qawi ashra hai. Aur is kay yeh maienay hain ke har harf kay Adaad ko 10x guna kar liya jaey maslan

Alif ka aik adad hai das guna ( 10 x) ziyada kiya to das ( 10 ). Isi tarha bay kay 2 adad hein das guna ziyada kya to 20 .

Yeh qaida taraqqi, martaba aur izzat ke liye akseer e Azam hai. Aur yeh munjmala talismaat kay hai. Jaffaar e kamelin ny is se aisay aisay kaam liye hain keh mamooli aadmi shahana doulat o izzat kay maalik hogaye. Haan mehnat aur kawish  ki zaroorat hai.

     Surah e Qadar – Inna Anzalnah ki Roohani Angoothi (Ring)

Surah e Shareef Innah Anzallnah kay adaad “menn alfi shehar” tak abjad e shamsi se istikhraaj kiye jaaen. Phir un ko qawwi ashra kar kay apnay naam + walida kay adaad qawwi ashra kar kay is mein jama kiye jaaen. Is majmoa ko musallas khaali ul batan mein pur kar ke khaali khanah mein ism e Azam “Ya Aziz” likh diya jaaey. Is musallas ko surkh rang kay kaghaz par likh kar is par sonay ka waraq bichaa diya jaaey aur chandi ki angushteri (Ring) mein pehlay is naqsh ko rakh kar oopar se surkh rang ka Nagina jurwa diya jaaey. Yahan tak mamooli kaam tha. Baqaya tarkeeb kuch yun hai keh Sooraj ghuroob honay ke baad rozana is angushteri (Ring) ko kisi oonchi jagah aasman ke neechay rakhen. Maslan aap kay makaan mein jo sab se Oonchi chhat hai ya diwaar hai is par rakhen yeh wazeh rahay keh woh jagah band nah ho balkay kushadah ho sirf aasman ka saaya ho. Aur khud is ke samnay kharray ho kar aik so aik (101) martaba surah Innah Anzallnah min alfi shehar tak parha karien. baad e khatam is angushteri (Ring) par phoonk kar chalay aaein. Yeh Ring tamam raat wahan rakhi rahay. subah ko Sooraj nikalney se qabal is ring ko apni ungli mein pehen liya karen , rozana yeh amal chalees (40) roz tak karein Sooraj ghuroob honay ke baad Ring ko rakhen. Aur Sooraj nikalney se qabal pehan liya karen. Bus isi qadar pabandi aur mehnat hai

Chalees (40) din kay baad amal khatam huwa. Ab din raat Ring pehnay raho. Allah chahay to doulat , izzat, taraqqi is darjah hogi ke aap duniya se be niaz ho jaiengay . 40 roz ka amal hai.

Magar musalsal 40 din nah karen un 40 din ki taqseem yeh hai ke jis din chaand dikhay isi roz amal shuru karen aur  14th shab ko khatam kar den , jab phir naya chaand dekhein tu 14th shab tak karein. 3rd month 40 days poooray karen. ab baaz chaand 29 key bhi hotay hain. is ka hisaab rakhen gharz is qader hai kay urooj mah mein 40 ki tadaad poori karein khuwa aakhri tadaad ka waqt pehli tareekh ko khatam ho aik aadmi kayi Ring tayyar kar sakta hai. magar Alaiheda Alaiheda Rings  hon Aur har aik par juda-gaana amal karay. doosra aadmi bhi doosray kay wastay tayyar kar sakta hai agar-chay mamool door he ho. Is ki tarkeeb yeh hai ke Amil Ring khud nah pehnay bulkeh quran shareef mein surah Yousuf mein Rakh diya karay. Aur yeh niyat kare ke yeh falan shakhs ki amanat hai. Aur 40 din poooray kar ke mamool ko dey keh woh apni ungli mein pehan lay .

Parhaiz is ka yeh hai ke Amil urooj mah mein jab amal parhta ho to is darmiyan mein sohbat nah karay na he fasad khulwaye ,  nah aisa zakham lagey keh jis se jism se khoon niklay ,  agar qudratan aisa haadsa paish aajay to ghar ka doosra aadmi amal parh diya karay . Amal bawazo qibla ro ho kar parha karein .

Jo Hazraat kisi bhi wajah se khood tayar karnay se qasir hon , woh apnay kisi qareebi sahib e ilm ki madad lay kar tayar karein , ya woh hazrat jo waqt ki qadr o qeemat se waqif hain or waqt ki qeemat ada kar saktay hain woh idaray se barah e raast rabta karein