Loh e Sharf e Zohra 2019

Loh-e-Sharf-e-Zohra-2019

     Sharf e zohra kya hai

Ulma e Ilm e jafar o najoom kay mutabiq sayargan 12 burooj ka daura kartay rehtay hain. Kabhi yeh saad halat se guzartay hain to kabhi nehs halat se , Sayara e zohra , jisay farsi main Nahid , english main Venus kaha jata hai , jab daairatul Burooj ka daura kartay huway , Burj e Hoot jo keh baarhwan burj hai , kay 27 darjay per pohonchta hai to isay sharf ki quwat hasil hoti hai.
Sayara zohra suraj kay gird 225 dinoo main apna chakkar mukammal karta hai . Yeh naswani quwat ka haamil hai . Taseer kay lehaaz se sayara e zohra ko sa’ad e asghar maana jaata hai .
Is mubarak o Mas’ood waqt se woh tamaam log mustafid ho saktay hain jin talluq public se rehta hai , jaisay dukandar, hakeem , leader , doctors, wukla hazraat , sahaafi hazraat , woh tamaam afraad jin ki aamdani ka zariya kisi na kisi surat awam se talluq rakhta ho . Sharf e zohra kay is mubarak waqt main Taskheer e khalaiq , Taskheer e Mehboob Aur Taskheer e Aala afsaraan ( Officers ) kay liye nehayat moassar jafri aamaal tayar kiye jaatay hain .

     2019 main Sharf-e-Zohra ki Timing

Is saal 2019 main Sayara e Zohra 17th April 2019 bawaqt 1:51 pm Say 18th April 2019 9:41 am tak apnay sharfi darjaat per rahay ga .

     Taskheer e khalaiq

Taskheer e khalaiq se murad yeh li jaati hai keh awam aap ki janib kisi khaas kashish kay sabab maaeel hon , mutwajjah hon , aap ki baaton ko ahmiyat di jaaey , aap ko izzat o ehtram ki nigah se dekha jaaey , aap ko baaton ko mamooli samajh kar nazar andaz na kiya jaey , Ager Ba-Izn-e-Rabbi kisi insan ko Khaliq e Haqeeqi yeh martaba ata karde to uskay ird gird kay tamaam afrad aik na-maloom kashish kay sabab uski izzat kartay hain or uski baaton per sar tasleem e kham kartay hain .

     Sayara e zohra ki mansubat

Sayara e Zohra ka talluq insani jazbat se hai , itehad o tanzeem , humdardi , muhabbat isi se mansoob hai . Insani khayalat kay tabdeel karnay main aik ahem Role ada karta hai , dew malaayi nazariyat rakhnay walay is sayaray ko mousam e bahar ki devi kehtay thay . Shafaf tareen sayaron main say hai , Zameen se qareeb honay kay sabab bagair durbeen kay bhi asaani se dekha ja sakta hai , Daairatul Burooj main burj e Saur ( doosra burj) aur Burj e meezan ( Saatwan burj) ka haakim sayara hai . Shams se ziada se ziada 45 darja aagay ya pichay rehtay huway apni harkat karta hai . Doosray aur satwein ghar se iska talluq hai .
Ager hum is kurrah e arz per basnay wali tamam makhlooqat per nazar dalein to yeh baat mushahiday main aati hai keh her makhlooq 2 cheezon kay husool ki tag o dau main lagi hui hai
1. Muhabbat Ya Qurbat
2. Zindagi ko behter tareeqay se le kar Aalishan tareeqay se guzarnay kay wasaeel per tasallut qaym karna . Sayara zohra ulfat aur muhabbat ka mazhar maana jaata hai . Sayara Zohra insani zindagi kay mukhtaleef adwaar main bannay walay talluqat aur rishton se bhi mansoob kia jata hai , jin main dosti , shadi , tanzeem , karobari shirakat  shamil hain. Sayara zohra insani jism aur rooh main aisi barqi lehrein peda kardeta hai jo doosron ko is insan ki taraf khenchti hain . Khubsurti , moseeqi , film , adab , kapra saazi ki sanat , banao sanghar ka saman , beauty parlour , aur jis main Husn o dilkashi , zeenat o aaraish ka amal dakhal ho in amoor per sayara zohra ki hukmrani hai . Insani jazbat o ehsasat , muhabbat aur qurbat ki soch per sayara zohra asar andaz hota hai . Yeh muashra main sargaram karnay main bhi madad gar hai , isi tarha Ta’eeshat-e-zindagi jin main zewar , musawwari kay fun paray aur deegar kaee qeemti ashya shamil hain , ka talluq bhi sayara e zohra se hai , Yeh sayara humein paisa kharch karnay ka saleeqa bhi deta hai .

Jahaan tak insani jism ka talluq hai to zohra pait , shiryanon , hadiyon aur khoon main calcium ki miqdar ko mutwazan rakhnay walay gudood , gala aur gurda se mansoob hai .

Jab hum rom ki dev malayi dastaanon per nazar daltay hain to ilm hota hai keh is muashray main sayara e zohra ko muhabbat , khubsurti aur jazbat ki devi kay taur per pooja gaya .
Isi tarha hindu dastaanon main sayara e zohra ko shukra grah keh kar pukara jata hai aur isay doulat , taskeen aur pedaish se mansoob kiya jata hai .

  1. Taskheer e khalq Wa Ruju e Khalq
    Yeh tareeqa un logon kay liye mufeed hai jinka khilqat se aam talluq hai jaisa keh hum mandarja baala satoor main bhi tehreer kar aaey hain keh woh afraad maslan Doctors, Hakeem, Wukla, Dukandar , Siyasi Leaders, Salesman , Insurance policy ka kaam karnay walay afrad Garzyehkeh woh tamaam afrad jin ka talluq kisi na kisi surat awam se rehta ho ya yunh keh lein keh jin ka zariya aamdan awam se mutalliq ho .
  2. Taskheer e Makhsoos
    Yeh tareeqa in khawateen o hazraat kay liye mufeed hoga jo kisi makhsoos fard ki taskheer chah rahay hon woh afrad jo kisi khas aurat ki taskheer chah rahay hon ya kisi matlooba jagah shadi kay khwahishmand hon , to is waqt is tareeqay ko apnaya jaaey .
  3. Husool e Daulat
    Humaray haan umoomi taur per maal o daulat se mansoob loh e mushtari ko he ehmiyat di jati hai is martaba aik makhsoos tareeq hum sayara e zohra kay sharf main pesh karnay ja rahay hain jo husool e daulat bulkeh Haziri e Maal o Daulat kay silsilay main kaafi behter paaya hai

In tamaam aamal ko pesh karnay se qabl sirf itna kahoonga keh amaliyat main istehqaq ( merit ) ka hona shart hai jo hazrat is baat ko samajhtay hain woh khuwabon ki dunya main hargiz nahi rehtay . Aap jo bhi amal tayar karein aik baat zehen main rakhiye ga keh yeh faqat koi tilsim nahi hai ya koi sehr ya jadu nahi hai keh jaiz o najaiz ka farq khatam ho jaey ga . Amal karein aiteqad o khulus o yaqeen kay saath .

Ager aap ka maqsad kisi ko bay abru karna hai to yaad rakhiye amal kaam karay ga ya nahi , kuch nahi kaha ja sakta lekin itna yaqeen se keh sakta hoon keh chand saalon main khud ko tabaahi kay dihanay per paaingay , lehaza jo bhi qadam uthaein khoob soch samajh kar . Yeh bilkhusus un hazrat kay liye likh raha hoon jo apni nafsani khuwahishat ko ishq ka naam de kar muashray main badnaami ka bais banay hotay hain .

Aap apnay maqsad kay mutabiq matloob loh tayar kar saktay hain . Aksar hazraat is baat kay jannay kay khuwahishmand hotay hain keh aaya her fard isay khood tayar kar sakta hai ? to mera jawab yeh hai keh kaam karnay se kaam ka saleeqa aata hai , aik he kaam ko lagatar musalsal kartay rehna , aap ko is kaam kay haqeeqi ramz tak pohncha deta hai . Ijazat talb karna , ijazat kay naam per niyaz , muwakkilat kay naam per hadiya jaat wasool karna humaray muashray main aam hai .

     Taskheer e khalaiq Wa Ruju e Khalq

Ab hum sub se pehlay taskheer e khalq kay liye is saad waqt main loh e zohra tayar karnay ka tareeq bayan kartay hain .
Taskheer e khalq kay liye hum jis aayat ka istemal kareingay woh mashhoor o maroof aayat hai yaani
لقد جاء کم رسول من انفسکم عزیز علیہ ما عنتم حریص علیکم بالمومنین رؤف رحیم
Is aayat kay adaad e abjad e qamri 2897 hain . Surah tauba Ayat 128

     Sharf-e-Zohra Ki Loh Bananay ka tafseeli tareeqa

Apnay naam , maa walida kay adaad abjad e qamri se haasil karein.

Ayat kay adad main jama kar dein .
Total adaad se 41 minus karein jo baqi adad hasil hon unkay huroof banaaein in huroof ko jorr kar aagay kalma ایل laga dein aur muwakkil istakhraj kar lein
Ab aik taskeer tayaar karna hai , jisay tayar karnay kay liye naam , naam e walida aur ayat ko basat e harfi karkay likhein
Is sitar se takseer haasil ki jaaey gi .
Is takseer kay pehlu e raast ( right hand side) Aur pehlu e chap ( left hand side ) kay huroof utha lein (oopar se nichay)
In huroof ko count karein , ager tadaad main taaq ( odd ) ho to 3 ya 5, aur juft ( even ) ho to 4 hurfi kalmaat banain.
Jis qadar kalmat banein unkay agay kalma یوش laga dein . Yeh awan ul amal kehlaingay .
Takseer ki sitar e awwal kay adaad ko mad e nazar rakhein aur gaur karein keh sitar e zamam kitni satoor main bar’aamad hui hai
Sitr e Awal kay adaad ko , sitar e zamam jitni satoor main bar’aamad hui hai is adad se x ( multiply ) kardein . Is tarha kul takseer kay adaad hasil ho jaingay . Is kul takseer kay adaad se 319 adad minus kar lein aur baqi adaad kay huroof bana lein inhein jorr kar aik kalma banaain aur iskay agay kalma طیش  laga dein . Yeh jinnat ul amal hai .
Tamaam takseer kay adaad Naqsh e Mukhammas main Pur kar dein .
Is Mukhammas kay charon janib awan ul amal ko tehreer kar dein jo aap nay takseer kay right and left side se hasil kiye thay .
is naqsh ki pusht per aik farzi tasweer banaain , keh aik kursi nasheen mard hai jo khush poshaak hai , iskay samnay zahir karein keh bay andaza log aa rahay hain kursi nasheen kay sar per muwakkil ka naam tehreer kar dein aur khalqat ko jahaan zahir kia gaya hai wahaan jinnat ul amal ka naam tehreer karein .
Is tasweer kay oopar nichay , daain baain ( righ & left ) awan ul amal ko tehreer kar dein .
Mukhammas aap nay tehreer kia tha is mukhammas kay nichay azeemat tehreer karein

بسم اللہ الرحمن الرحیم ۔ عزمت علیکم واقسمت علیکم یا ارواح العلویات والسلفیات ( نام موکل ، نام اعوان العمل ، نام جنات العمل ) بقضائے
حاجتی تسخیر خلائق و رجوع خلائق بحق الاسم الاعظم یا بدوح و آیہ مبارکہ لقد جائکم رسول من انفسکم عزیز علیہ ما عنتمحریص علیکم بالمومنین
رؤف رحیم و بحق خالقکم و موحدکم و بارکم و بارک اللہ فیکم و علیکم ۔ العجل العجل العجل الساعتہ الساعتہ الساعتہ الوحا الوحا الوحا  ۔

2 naqsh aap nay kaghaz per zafran o arq e gulab kay mehlool se tayar karnay hain jab keh aik naqsh aap nay chandi ya tambay kay patray per kunda karna hai size 3 x 3 inch rakha jaey to asaani se tehreer kar paaingay .
Loh ko muattar karkay hama waqt jaib main ya gallay main bataur e taweez apnay pass rakhay . Aik naqsh apnay ghar ki chhat ya makan ya dukan ya daftar kay andar latka dein ya sehen main koi phaldar ya phooldar darakht ho to is per latka dein taakeh hawa se hilta rahay .
Jab keh doosra naqsh frame main jurrwa kar aisi jagah lagaain keh her aanay jaanay walay ki nazar parray , Insha Allah izzat o shohrat haasil hogi .
Ab is tamam amal ko misal se wazeh kar raha hoon , Misaal main naam e walida nahi lia gaya hai lekin aap amal tayar kartay waqt naam aur naam e walida zarur shamil karein
Naam e talib محمد حسن  adad abjad e qamri 210
Ayat kay adad 2897
Total 3107 . Is adad main se 41 minus kiye gaey baqi rahay 3066
Inkay huroof banaaey
و س غ ج
kalma ایل ka izafa kiya gaya
وسغجائل
yeh muwakkil e amal istakhraj ho gaya

Ab takseer bar’amad karnay kay liye naam e talib aur ayat ko basat e harfi kiya
م ح م د ح س ن ل ق د ج ا ا ک م ر س و ل م ن ا ن ف س ک م ع ز ی ز ع ل ی ھ م ا ع ن ت م ح ر ی ص ع ل ی ک م ب ا ل م و م ن ی ن
ر و ف ر ح ی م

     Takseer e Jafar

Takseer ki sitar e awal kay adaad 3107
Total humaray pass zamaam tak ager aap dekhein to is main 18 lines mojood hain , lehaza 3107 ko humnay 18 se multiply kiya , 55926 adaad hasil huway.
In adaad se jinnat ul amal istakhraj karnay kay liye 319 minus kiye gaey  55926 – 319 = 55607 .
Inkay Huroof banaaey .
ز خ غ ھ ن
Aur aagay kalma طیش ka izafa karkay jinnat ul amal tayar kiya ز خغھنطیش .
Right side kay huroof haasil kiye jisay pehlu e raast kaha jaata hai
م م ل م س م م ل ت م د ح ح ع ر ل د ح
isi tarha left side kay huroof hasil kiye jinhein pehlu e chap kaha jaata hai .
م ل م س م م ل ت م د ح ح ع ر ل د ح م
kul huroof ki counting ki , jo keh 36 hain . yanay tadad e hurf juft qarar paayi .
Lehaaza char hurfi kalmat banaey gaey
Pehlu e raast se banaaey jaanay walay char hurfi kalmat yeh huway
م م ل م    س م م ل    ت م د ح    ح ع ر ل    د ح
مملمیوش   سمملیوش   تمدحیوش   حعرلیوش   دحیوش

Pehlu e chap se banaaey jaanay walay char hurfi kalmat yeh huway

م ل م س    م م ل ت    م د ح ح    ع ر ل د    ح م
ملمسیوش   مملتیوش   مدححیوش   عرلدیوش   حمیوش

Goya kul 10 kalmat awan ul amal kay istakhraj huway yeh naqsh kay ird gird likhay jaaingay .
yahaan yeh baat wazeh kar doon keh baaz mahirin e fun kay nazdeek in kalmaat ko he phhaila kar likh dena kafi hai
Jab keh baaz ka khayal hai keh jo kalmat wuza kiye gaey hain woh naqsh kay oopar nichay daaein baaein her janib mukammal tehreer kiye jaaingay .
Mera apna tareeq yehi hai keh kul kalmaat ko charon atraaf alaiheda alaiheda teheer karta hoon .

Ab humnay kul adaad se naqsh e mukhammas pur karna hai .

Jis ka tareeqa yeh hai keh kul adaad se ( jo takseer kay hasil kiye thay ) 60 adad qanoon kay minus kar dein , baqi ko 5 per divide kar dein , hasil taqseem ko hasb e zail chal se naqsh mukhammas main pur kar dein yaani khaana e awal main haasil taqseem ki raqam ko rakhein aur chaal ki tarteeb kay mutabiq aik aik adad ka izafa kartay jaaein . Taqseem karnay kay baad dekhein ager 1 baqi bachay to khana 21 main , 2 bachnay ki surat main khana number 16 main , 3 baqi rehnay ki surat main khana number 11 main , aur 4 baqi rehnay ki surat main khana number 6 main mazeed aik adad ka izafa kartay huway kasar pur ki jaaey gi .

Sub se pehlay naqsh e mukhammas ki chaal ko mulahiza karein

     Naqsh e Mukhammis ki chaal 5 x 5

18 22 1 10 14
24 3 7 11 20
5 9 13 17 21
6 15 19 23 2
12 16 25 4 1

Hamari takseer kay kul adaad 55926 hain in adaad ko humnay naqsh e mukhammas main pur karna hai .
Humnay qanoon kay 60 adad minus kiye to 55866 haasil huway  .
In adaad ko 5 per taqseem kar dia gaya , Haasil taqseem 11173 aur taseem se 1 baqi bacha . Goya naqsh pur kartay waqt humnay qawaneen kay mutabiq khana number 21 main aik adad ka mazeed izafa karna hoga .

     Naqsh e Sharf e Zohra ( Misaali ) 

Naqsh ki pusht per jo tasweer banayi jaaey gi woh kuch yunh ho sakti hai .

Guzishta waqtoo main sahuliyat muyassir na theen mojooda daur main khud ki tasweer bhi istemal ki ja sakti hai . Achay kapray pehen kar , kisi munasib jagah beth kar mobile se tasweer lein iskay baad mukhtalif softwares ko istemal kartay huway is tasweer ko scatch ki surat de saktay hain isi tarha taskheer e khalq ko bhi haqeeqi awam zahir kiya ja sakta hai bus apni aqal e saleem per zor daaliye aur koshish karein .
Tasweer kay sar par muwakkil ka naam , jabkeh khalqat kay aein oopar jinnat ul amal ka naam tehreer kiya jaaey ga , jabkeh tasweer kay oopar nichay daaein baaein awan ul amal tehreer hongay .
Ab ager rozana 121 ya 92 martaba aaya e mazkoora ka wird karein to behter hai aur yeh bhi mozoo hai keh awam aur khud ki tasweer kay oopar donoo kay wast main badar e kaamil ka scatch bhi sath main shamil kar lia jaaey ( yeh aik ilmi aur bareek nukta tha jisay bayan kar dia gaya hai ) bahrhaal jo hazraat fun ki bareekiyon ko jantay hain woh is aik amal se beshumar raahein nikaal saktay hain . Dua go hoon keh Allah aap ka idrak kholay .

      Sharf e Zohra Ki Loh Kaise Hasil Karen

Sharf e zohra se mutalliqa Amaal tafseel se step by step likhnay ka maqsad he yeh hai keh her zarurat mand apnay liye khood tayaar karay aur yaqeen jaaniye keh jo mehnat aur lagan aap khud kay liye kar saktay hain woh koi doosra fard nahi kar sakta . Lehaaza yehi behter hai keh khood mehnat karein aur faida uthaein
Taahum woh afraad jo kisi bhi sabab khood kay liye ya apnay kisi aziz kay liye sharf e zohra ki loh tayaar na kar saktay hon , woh apnay kisi qareebi ba aetemad sahib e ilm fard se madad lein. Ya phir ager waqt ki ujrat denay kay ahl hain to hadyatan Online Roohani Magazine Idara e Roohani Aloom se tayaar karwa saktay hain. Order place karnay kay liye Contact-Us ka form istemal kar saktay hain

1 Comment on "Loh e Sharf e Zohra 2019"

  1. Jaffer Ali | March 4, 2018 at 11:29 am |

    Sir kindly translate all your urdu article’s in Roman

Comments are closed.