Muhabbat Ka Karishmati Amal | Nayab O Sadri

muhabbat-ka-karishmati-amal

Mehboob o Matloob Ko Taskheer Karnay ka Lajawab Amal 

Jab hum insani tareekh par nazar daaltay hain to insaan hamein do he jazboo mein taqseem nazar aata hai. yeh do jazbay muhabbat aur nafrat kay hain. Muhabbat ka jazba ghalib ho to insaan zindagi ko bachanay wali dawa ijaad karne se le kar chaand aur marrikh ko taskheer karleta hai jabkeh nafrat ka jazba ghalib anay se insaan kayi jangoo mein karorron be gunah insanon ka khoon bahanay ke jurm ka irtikaab karne se bhi nahi darta. Kehtay hain keh Muhabbat o nafrat ke un jazboo par jis ko kamaal haasil ho jaye woh apne waqt ka sab se bara badshah ya jadugar ban jata .

Muhabbat insaan ki fitrat hai aur usay jo acha lagey is ki muhabbat mein giraftar ho jata hai. aksar yeh muhabbat yak Tarfah hoti hai. Insaan apni muhabbat ko panay ke liye mushkil se mushkil kaam karta aya hai. kabhi woh sehraoon mein khaak chant-ta nazar aata hai to kahin woh pahar kaat kar doodh ki neher banata. Muhabbat insaan ko is qadar majboor kar deti hai ke woh anjaam ki parwah kiye bina apni muhabbat ko haasil karne ki har saee karta hai.

Kuch log ishq e haqeeqi ke mutlashi hotay hain aur is ke liye kaee sakht qisam ki ibadaat aur wazaaif ka sahara letay hain lekin woh apne maqsad ko haasil nahi kar paatay jis ki bunyadi wajah yeh hai ke yeh log insanon se Muhabbat karne ko ehmiyat nahi dete. Qudrat nay insaan ki fitrat mein dosray insaan se muhabbat karna rakha hai jab aap apni fitrat ke khilaaf jatay hain kamyabi haasil nahi kar paatay. Dar haqeeqat ishq e majazi he ishq e haqeeqi ki taraf lay kar jata hai . Is main kuch tadabbur karnay ki zaroorat hai.

Roohaniyat aur jadu ki dunia mai muhabbat par bohot sarey amal darj hain jin mai kuch apnay asraat ki waja se shohrat rakhtay hain . Kuch amal bohot saada aur kuch bohot pecheeda hain. In ki pecheedgi aur asani amal ki taseer mai farq nahi dalti. Aksar saada  nazar anay walay amal apnay maqsad ko haasil karnay mai bohot moassar saabit hotay hain.

Aaj hum Husool e muhabbat ke liye aik aisa amal paish kar rahay hain jo bohat asaan honay ke sath sath karishmati asraat bhi rakhta hai. Yeh amal har koi kar sakta hai. Is mein kisi qisam ka mushkil naqsh ya louh tayyar nahi ki jati bulkeh qudrat ki peda kardah un quwatoon ko istemaal kiya jata hai jo takhleeq ke mukhtalif anaasir par mamoor hain .

Yeh amal karne se pehlay aap apnay ird gird mein kisi sahib e ilm se raaey aur tajweez zaroor lein .
Amal kay liye jo cheezein darkaar hain un mein surkh ghulaab ka phool, mehboob ka pehna huwa kapra ya kapray ka tukraa , agar yeh nahi to phir mehboob ke chand baal , likhnay kay liye surkh roshnaai ( red ink etc… ), do safaid kagaz ke tukray, surkh rang ka dhaga aur surkh mombatti

Is amal par mamoor quwwaton ko apnay paas bulanay kay liye un ki khidmat mein kuch taha-eef  paish kiye jatay hain. Tohfa har makhlooq ke dil mein aap ke liye pasandeeda jazbaat peda karta hai aur jab koi aap ko pasand karta hai aur aap is se koi farmaaish karte hain to woh laazmi poori karta hai. Is amal ke taha-eef mein meethay chawal yani zarda ya mithai shehad (honey)  aur phoolon mein Yasmeen ke phool shamil hain. un sab ko aik saaf plate mein rakh lein .

Yeh amal jummay kay din tulu e aftaab ke waqt kiya jaye ga. Do baaton ka khaas khayaal rakhein keh jis din aap amal karein is din chaand ki roshan raatein hon aur chaand burj aqrab (Scorpio ) mein na ho. jummay ka din sayarah e zohra se mutalliq hai aur sayarah zohra ki saa-at mein muhabbat kay aamaal kiye jatay hain. Is amal kay douran behtareen khush-boo jalaaye rakhein. khush-boo agar sayarah zohra se mutalliq ho to ziyada moassar hoga.

Sab se pehlay hum jummay kay din aur sayarah e zohra par mamoor quwwaton ko apni madad ke liye pukaarain ge. Aap ne aik plate mein jo cheezein rakhi hui hain unko samnay rakh lein aur yeh ibaarat parhein. yeh ibaarat urdu mein likhi ja rahi hai kyunkay bohat se log arabi zabaan ko durust talaffuz mein ada nahi kar paatey jis ki wajah se amal ki taseer zahir nahi hoti. Ibaarat yeh hai

یا جبرائیلُ یا عینیائیل یا زوبعہ ابیض آپ کو قسم ہے کہ میرے اس محبت کے عمل کو انجام دو آپ کو اسم الہی خبیر کا واسطہ۔

Ya Jibraeelo Ya AeinYa-eelo Ya Zoba’aha Abyadh Aap ko Qassam Hai Keh Meray Is Muhabbat Kay Amal Ko Anjaam Do Aap ko Ism e Elaahi Khabeer Ka Wasta “

Yeh  ibarat 3 bar parhi jaeygi. Jab ibaarat mukammal karlein to samnay rakhi cheezon par nazar dal kar kahein main yeh tamam ashya

Jibraeel , Aeinyaeel aur Zoba’aha Abyadh
 ki khidmat main batur e hadiya paish karta hun. Ye cheezain amal tayar kar lenay ke baad chaltay pani main baha dein ya phir bachon mai khanay ke liye taqseem kar dein.

Is amal ke liye hum aik misal paish kar rahay hain. Is misali amal main hum ansa bint e nissa (aurat) ke dil mai rajal bin khanam (mard) ki muhabbat paida kar rahay hain. Aap key pass surkh rang ki jo  mombatti hain is par kisi
nokdar cheez se ye kalma likhein

” الحب آنسہ بنت نساء علی حب رجل بن خانم ”۔

Pehlay iska naam likha jaiyega jis ke dil main muhabbat paida karni hain.
Naam likhtay waqt is baat ka khayal rakhein ke mom batti toot na jaaye.

Mom batti par kalma jiss andaz mai likha  jaayega wo aap ki sahulat ke liye Yahaan tasweer main bataya ja raha hai . 

muhabbat-ka-karishmati-amal

Aap key pass kagaz ke do safaid tukray hain. In dono tukro ka size aik jaisa hona chaiye. Aik kagaz par hum nay Ansa bint e Nisa likha aur dusray kagaz par rajal bin khanam. Dono naam likhay bhi aik hi size mai jaiyega . Ye naam surkh rang ki roshnai se likhi jaiyegi . Naam likhnay ke baad dono tukro ko aik dusray ke upper is tarah rakhein keh donoo naam aik dusray se mil jaiye. In tukru par mehboob ke kapray ka tukra ya baal lapait dein.

 

Aik plate mai ye dono kagaz aur mom batti rakh dein . Mom batti ko jala lein.
Pukhta yaqeen rakhein keh mom batti roshan kartay he aap kay mehboob ke dil main aap ki muhabbat roshan hojayegi . Ab ye azeemat 21 bar parhain. Is azeemat ko parhnay ka tareeqa ye hai keh isey 7 – 7 ki tadad mai parhna hai. Jis insan ko aap apni muhabbat mai giraftar karna chahtay hain is ka chehra achi tarah apni nigahon mai jama lein aur ye azeemat 7 bar parhein :

 

“ Ae pak o tahir arwah mein aap ko qasam deta hoo hamaray rab ke naam ka waastaa meri taraf mutawajjah hon, aur Ansa Bint e nisa ko Rajal bin khanam ki taraf mutawajjah karo, Ansa Bint nisa kay qalb o rooh o jism ko Rajal bin khanam kay ishq o muhabbat ki aag mein jalao. Ansa Bint nisa ke qalb o zehan o rooh par musallat hojao aur aik lamha kay liye bhi woh Rajal bin khanam ki muhabbat se ghaafil na ho sakay. Ansa Bint nisa ko Rajal ban khanam ki taraf is tarha kashish karo jaisay maqnatees lohay ko apni janib kashish karta hai. aey is amal par mamoor moakkil mein aap ko hamaray rab ka waasta deta hon meri is hajat ko abhi pura karo, abhi fori isi lamhay”.

Ab bnd ankhon se tasawwur karein keh aap ka mehboob aap ki taraf dorta huwa aa raha hai aur is kay sath yehi azeemat 7 bar wird karein.

Jab azeemat ko 21 bar vird kar chukein to ghulab kay phool aur naamo walay kagaz par saat ( 7 )  bar phoonk dein.

Jab tak mom batti jalti rahay aap ney is ke samnay baithay rehna hai aur bnd ankhon se apnay mehboob ka chehra dekhtay rahein aur dil he dil main mehboob ki awaz sunein keh woh aap ko keh raha hai keh mai tum se muhabbat  karta hun. Jab mom batti mukammal tor par jal kar bujh jaye to naamo walay kagaz ko ghulab ke  phool kay andar rakh dena hai aur phool kay ird gird surkh rang ka dhaga lipat dena hai takeh pattiyan bund hojaye . Is phool ko aap kisi veeranay main saaf jagah per matti main dafan kar dein aap nay jis insan kay liye yeh amal kia hai woh chnd he dinoo main aap ki muhabbat main bay qarar hona shuru ho jaye ga aur aap se izhaar e muhabbat karay ga

Is aik amal se bay shumaar kaam liye ja saktay hain sirf tadabbur ki zaroorat hai

Koi baat samajh na aaye to Rabta kar saktay hain