Bachon Kay Naam Rakhnay Ka Tariqa

bachon-kay-naam-rakhne-ka-tarika

اردو میں پڑھنے کے لئے یہاں کلک کریں

     Bachon Kay Naam Rakhne Ka Tarika 

Hum aap ki tawajjah aik intehayi aam mager intehayi ahem mas’alay ki janib mabzool karwana chahtay hain woh hai bachay ka naam tajweez karna , ya yeh dekhna keh bachay ka naam kya rakha jaey?

Yeh aik tasleem shuda haqeeqat hai keh naam ka asar zindagi bhar insan kay muqaddar aur shakhsiyat per haawi rehta hai , humaray haan is amr ka koi khayal nahi rakha jata hai keh nau moulood ki zindagi per naam kay asraat kia hgongay , bus ghar , muhalla , Tc , Akbar se ya kisi milnay walay nay koi naam bata dia , woi naam bachay ka muqaddar ban gaya.
humaray mushahidat kay mutabiq insan ka naam 3 tarha se is per asar andaz hota hai
1. Pukaar ( Urf e Aam )

2. Mutalliqa Burj Aur sayara

3. Naam ka Makhfi adad

Ulma e ilm e najoom o Ilm e jafar kay baqol ager kisi bachay ka naam tareekh o waqt e pedaish se istakhraj shuda burj kay mutabiq ho aur mufrad adad bhi tareekh kay adad kay mutabiq ho to is shakhs ki tamam salahiyatein yakja rehti hain . Ager tareekh e pedaish ka talay burj aur ho , aur naam kisi doosray burj kay mutabiq rakh dia gaya ho , to aisa shakhs tamam zindagi dohri fitrat ka shikar rehta hai .

Ager aap idaray se bachay ka naam tajweez karwana chahtay hain to mandarja zail kawaif kay humrah rabta karein

Bachay ki Tareekh e Pedaish
Waqt e Pedaish
Din Ya Raat
Jaaey Pedaaish Ma zilla
Naam e Waldain

Naam tajweez karnay ki fees $15 muqar-rar hai
Pakistan main muqeem Hazraat muballigh 1500 Rs bank main jama karwa saktay hain
Jab keh bairoon e Mulk muqeem Khawateen o Hazraat paypal per hadiya irsal farma saktay hain .
Deegar Maloomat kay liye web per mojood contact-us form fill karkay submit kar dein