Mujarab Amaliyat / Wazaif

mujarab-amliyat-wazaif
  1. Ager kisi zaani mard ya aurat ko bandhna manzoor ho to bakri ki aant ko khoob dho kar
    فَمَا ستَطا عُولَہ نقبا
    21 baar parh kar girah laga de. Phir kahay aqad-tu Zakar fulan bin fulan alaa furj fulaan bint fulaan .
    Agar aurat ho to kahay Aqad-tu furj fulaan bint fulan Alaa Zakar Fulan bin fulan . Yeh amal kisi nehes sa’at ya waqt main karein
  2. kisi purani qabar se thori si khaak la kar is per 7 baar surah e muzammil parh kar dum kardein aur woh khaak kisi dushman kay ghar daal dein to woh veeran ho jaaye ga
  3. ager ohda ya darja kum kar dia gaya ho to jumerat ko roza rakhein din ko aik baar surah e yasin aur raat ko sonay kay waqt phir aik baar parh kar 100 baar kalma e tamjeed parh kar so jaain. 3 din tak aisa karne se kamyabi hogi , sonay se pehlay maqsad ki dua kia karein aur phir jab tak neend na aaye kisi se kalam na karay
  4. jo shakhs “Ya Rahmanu” ka sawa lakh ka chilla nikal lay phir ism e azam ko 105 martaba subah aur ek so paanch (105) martaba sham ko parha karay to bay panaah taskheer e khalq hogi , kabhi mohtaj na hoga aur koi shakhs sar na utha sakega ager woh kisi shakhs ko kisi cheez per dum karke kisi bhi maqsad kay liye dega to hajat poori hogi
  5. ager kisi shakhs per qarz ho aur utarta na ho to paanch waqt ki namazein pabandi se parhein her namaz kay baad aik so aik baar ia kabiro ya ghaniyo ya muhiyyu parhay Insha Allah jald qarza ada hoga
  6. ager koi shakhs itwar ya peer ya jumerat ya jumma ko tulu e shams kay waqt chand ki awal tareekhon main kisi din 511 ka naqsh e murabba atishi zafran es kaghaz per pur karay aur dukan main latkaye to bohot bikri hogi
  7. ager koi shakhs mushkil main ho to paanch roz tak her shab dus hazaar ( 10,000) baar Allahus-Samad parh kar so jaaye dil main niyat rakhein keh koi buzurg khwab main aa kar mushkil kushai karein gay chahiye keh zikr ki jagah he soien
  8. ager koi shakhs her jumerat ko raat ko pakiza jagah main tanha beth kar aik hazar baar Al-Muatti parhay jis kay awal o aakhir giyara giyara baar durood shareef ho to thoray he arsay main bay hisab kashaish ho ghani aur maldar ho jaye shak na laaein rizq bohot milay ga