Is Sadi Ka Sab Se Taweel Girhan / Grahan Jo 27 July 2018 Ko Hoga

chand-girhan-july-2018

اس مضمون کو اردو میں پڑھنے کے لئے یہاں کلک کریں ۔

Chand Girhan July 2018

Is sadi ka sab se taweel chand girhan dunya kay aksar mumalik main dekha ja sakay ga ma siwaye America kay . Yeh chand girhan baroz e jumma 27 july 2018 ko hoga . Is girhan ka doraniya taqreeban 4 ghantay hoga aur isay Europe, Asia , Australia , Africa , South America aur Arab dunya kay aksar mumalik main dekha ja sakay ga . Is Girhan ki mukammal tareeki is waqt hogi jab zameen apnay saaye se chand ko mukammal taur per chupa degi , chand ki is mukammal tareeki ka waqt taqreeban 1 ghanta aur 43 minute rahay ga.

Blood Moon Ka Manzar

Europe, Asia , Africa aur Arab mumalik jahaan yeh chand girhan dekha jaye ga woh log chand kay aik aur manzar ka mushahida kareingay keh jab chand surkh ho jaye ga yeh lamha is waqt hoga jab chand mukammal tareeki se nikalna shuru kare ga yaani mukammal tareeki kay 1 ghanta 43 minute baad chand ka rang surkh hona shuru ho jaye ga Islaah main chand ki is halat ko blood moon bhi kehtay hain

Yahaan hum aap ki dilchaspi kay liye Girhan se mutalliq kuch maloomat faraham kar rahay hain .

 

Mukammal Chand Girhan Kia Hota Hai ?

Chand ko Grahan Us waqt lagta hai jab zameen chand aur suraj kay darmiyan haeel ho jati hai . Is tarha zameen ka saaya chand par parta hai aur chand tareek ho jata hai . Mahireen kay mutabiq mukammal chand girhan main chand ka rang surkh ho jata hai aur iski buniyadi wajah suraj ki shuaon ka aik khas zawiya se zameen kay mahol se guzartay huway chand ki taraf mun-akkis hona hai .

Chand kay is grahan ko khooni chand ( Blood Moon ) kay naam se bhi mansoob kia jata hai . Yeh chand Girhan 2017 main honay walay suraj girhan se bohot ziada ehem hoga kiunke suraj girhan main mukammal girhan chand minute tak ka tha jab keh yeh mukammal chand girhan 1 ghanta or 43 minute per muheet hoga .

Dunya ki beshtar abadi 27 july 2018 ka chand ka yeh girhan dekh sakay gi . Suraj girhan dunya kay bohot kam mumalik main dekha jata hai iski wajah yeh hoti hai keh zameen ki nisbat chand bahut chota daira peda karta hai . Raat kay wat chand girhan to asani se dekha ja sakta hai jab kehdin kay waqt suraj girhan ko sirf inhee ilaqon main dekhna mumkin hota hai jahaan chand ka saaya suraj par par raha ho .

suraj girhan kay mukhtasir doraniya kay sabab dunya kay bohot kam log isay dekh paatay hain aur isi wajah se jin ilaaqon main mukammal suraj girhan hota hai wahan aik mela ka sa samaan bandh jaata hai .

Saal 2018 kay aghaz main bhi mukammal chand girhan tha . Is chand girhan ko ” Blue Moon ” Ya ” Neela Chand ” ka naam dia gaya . Is girhan ki infiradiyat ki 3 wajuhat bayan ki jati hai . Is girhan kay doran chand ka rang surkhi maail tha .
Is Girhan kay dauran chand zameen kay bohot qareeb tha jis ki wajah chand apnay hujam se kafi bara aur roshan dikhai de raha tha
Aur Is Girhan kay Dauran chand mukammal dinoo ka tha is wajah se isay Blue Moon ka naam dia gaya

July ki 27 Tareekh ko lagnay walay Girhan ki infiradiyat iski mukammal Tareeki ka ” Taweel Arsa ” hai .

Mahir e Falkiyat kay mutabiq is giran kay doran chand zameen kay mehwar se bohot door hoga aur chand kay is muqam ko Apogee kaha jata hai .
Girhan kay doran chand kay zameen se door honay kay sabab chand ki zameen kay gird gardish ki raftar kam hogi jo girhan ki tawalat main izafa ka sabab hoga aur chand mukammal girhan main 1 ghanta aur 43 minute tak rahay ga .

Is Saal 27 July ka Girhan is sadi ka sab se taweel girhan hoga . Yeh girhan zameeni tareekh ka doosra sab se taweel girhan hoga . Sub se taweel girhan ka dorania is girhan se 4 minute ziada tha.

Kia Is Chand Girhan Ko Ainak ( Eye Glasses ) kay bina dekhna durust hai ?

Mahirin e Falkiyat kay mutabiq chand girhan ko bina hifazati tadabeer kay dekha ja sakta hai . Inkay mutabiq hifazti tadabeer Suraj Girhan main ikhtiyar ki jati hain kiyunke suraj ki tez roshni ko barah e raast dekhna aankhon kay liye nuqsan deh hota hai jab keh chand ki roshni madham hoti hai isliye isko barah e raast dekha ja sakta hai .

Is Girhan ko dekhnay ka behtareen waqt kaunsa hai ?

Mahirin e Falkiyat kay mutabiq is girhan se lutf andoz honay ka behtreen tareeqa yeh hai keh girhan kay mukhtalif auqat main khuli jagah per isay dekha jaye takeh is kay mukhtalif marahil ka mushahida kiya ja sakay . Woh Mumalik jahaan yeh girhan dekha jaye ga inkay liye sub se ehem auqat woh hongay jab zameen apna saaya chand per dalna shuru karay gi . Jab chand surkh ho jaye ga aur jab zameen ka saya chand se kam hona ya chand se hatna shuru hoga aur yeh sub kuch 4 ghantay kay dauraniya main hoga .

Is girhan ko dekhnay walon ko qudrat aik aur shahkar bhi dikhaye gi keh jab girhan kay dauran chand ki roshni ko zameen rok degi to chand ki baain taraf ( left side ) sayara mareekh aur dudhiya kehkashan yaani milky way ko bhi dekha ja sakay ga jis ko insani aankh nahi dekh paati .