Articles by admin





Ilm un Nafs Kia hai ?

Mukhtaleef aqwam isay mukhtaleef naamoo se janti hai , angraiz isay Breathing exercise kehtay hain , Sanskrit main Pranayama Ya Sur Vidha  , Arabon main Ilm un nafs yanay saans ka ilm kehtay hain  , Durasl is ilm ka talluq humari roz marrah ki saans se hai. Rawani e Nafs ka naam zindagi hai , aur iskay bnd honay ka naam mout hai , phir kuch samajh main nahi aata keh woh cheez jis ka inhessaar zeest o marg per hai , woh bajaaey khood aik ajeeb o gareeb shay kiyun na ho . Yeh Aur baat hai keh humari he naqis o na mukammal aqal is guthi ko na suljha sakay keh is main kia kia khawas mojood hain .