Surah e Muzammil Say Hazirat Ka Amal | Hakeem Ghulam Qadir Baloch

     Haziraat Surah e Muzammil

Surah e Muzammil shareef se jo hazirat hoti hai nihaayat he ba-quwat aur saree ul-asar hoti hai is surah e shareef ke muwakkilat Amil ki zabardast pazeerai karte hain khaas taur par jin, bhoot, aasaib se nijaat, sehar o jaadoo ka khatima, marz ya mareez ki baabat maloom karna, gumshudaa insaan ke mutaliq daryaft karna, aalam e arwah ki sair karna, apne kisi aziz ki rooh se batain karna waghera. Lekin is amal mein zakat ki shart hai yani awwal is amal ki zakat ada karna zaroori hai. Jis ka tareeqa kar kuch yun hai ke nau chandi jumeraat se is amal ka aaghaz kiya jaye aur har do parhaiz Jalaali wa Jamaali ke sath mukammal khalwat mein amal karein. Amal baad e namaz isha qibla rukh ho kar 41 baar Surah e Muzammil shareef parhein aur awwal o aakhir 11 – 11 baar durood e ibraahimi parhna zaroori hai. Is tarha 41 yaum bilaa nagha amal jari rakhein.
Chilla mukammal karne ke baad sirf 3 baar parha karein taakay amal qaboo mein rahay .

     Haziraat ka tareeqa     

Aik saaf shafaaf aaina lein aur usay mamool ke haath mein day kar takeed karein ke woh apne aks ki aankhon mein ankhen daal kar ba-ghaur dekhe aur Amil 3 baar durood shareef aur 3 baar Surah e Muzammil shareef parh kar mamool par dam kar dein. Insha Allah taala fil-faur haziraat ka nuzool hojaye ga aur Shah e ajinnah tashreef laaein ge. Mamool ko chahiye ke kamaal  aadaab se Shah e ajinnah ko salam kar ke sawalaat poochnay ki ijazat talab karein aur ijazat mil janey par aap apna mudda bayan karein In Sha Allah jawab pathar par lakeer hoga.
Baad izaan  kaam lainay ke baad Shah e ajinnah ko shukriya ke sath rukhsat karein ibtida aap na baaligh bachon par karein aur jab mahaarat e taam-mah hojaaey to aap barron par bhi haziraat kar satke hain.
bus tajurbah o mehnat ki zaroorat hai. Amal musaddiqa hai aur aksar buzurgon ka mamool hai

Note:

mazmoon e haaza ke mutalliq koi baat daryaft karna chahain to darj zail email address par rabita farma satkay hain .
gqbATroohanialoom.com (AT ki jagah @ istemal karein)

2 Comments on "Surah e Muzammil Say Hazirat Ka Amal | Hakeem Ghulam Qadir Baloch"

  1. Muja plz ijazat da surah muzamil ka wazifa karna ka lia…..and larkia is wazifa kou kis tarha karay…41 days tou nai hou sakta…please guide me….thank you sir….waiting for ur reply

    • Hakeem Ghulam Qadir Baloch sahb in dinoo beroon e mulk muqeem hain , Jahaan tak amal ka muamla hai to khawateen yeh amal nahi kar sakteen .

Comments are closed.