Amaliyati zindagi guzarne walon k lilye ” Tasfia e Qalb ” Zaruri hai

     Tasfia e Qalb     

Woh tamam hazraat jo amaliyati zindagi busr karne ke khawahish mand hain inhen deegar lawazmaat ke ilawa tasfia e qalb ki janib bhi khusoosi tawajjah dainee chahiye kyunkay jis qader insaan parhaizgaar o mut-taqi hoga isi qader is ke aamaal mein zood asri payi jaye gi.

Baad az namaz e Isha muraqba kya karen namaz e Isha se faraghat ke baad aankhh band karlen ab sar ko jhuka lein tamam khayalat ko zehan se nikaal dein ab qalb ki janib ghaur karein ke aey maalik e haqeeqi aey  pak parwardigar tu haazir o nazir hai mere tamam ayub se bhi bakhoobi ba khabar hai mein aik zaleel o haqeer insaan hun aur tairay saharay aur fazl par hun meri madad farma aur mere qalb ko pak o saaf farma is douran tasawwur apne qalb ki janib rahay jab kuch dair baad tabiyat is janib Raghib aur mael honay lagey to phir ab chahiye ke qalb ke tasfia ki janib tawajjah di jaye is liye ke ab aap ko yaksoi haasil hogayi hai , inteshaar qalbi o zehni bhi kaafi hadd tak aap dur karne mein kamyaab ho chukay hain, is janib tabiyat bhi mael honay lagi hai, nafs bhi itminan mehsoos karne laga hai rooh ko bhi is muraqba se Farhat aur tar-o-tazgi mehsoos honay lagi hai to doossra kaam shuru kya jaye ab thora thora waqt barrhaya jaye. aur isi tarha tasawwur jamaya jaye ke hum moudbana haazir hain , aur sajda mein jis terhan ijz-o-inkisari parvar-digaar ke samnay ki jati hai , is tarha sar jhuka hua ru-baqiblah ijz-o-inkisari ke sath jhuka hua sar tasleem khham hai bas is amal ke chand roz baad aik khaas kefiyat peda hona shuru hojaye gi jis ke do fawaid haasil hunge

1. Nafsaani khwahisaat o lazzat mein kami

2. Tabiyat mein lutaf o narmi

Agar yeh baat chand roz ke arsay mein peda nah ho to phir apne ayub ko tatolna chahiye. Ayub khuwa chhootey hon ya barray sab gunah mein shaamil hain barray gunah mslam zina kaari, gheebat, munafiqat, luqmah-e-haraam, jhoot bolna waghera…,  agar aik bhi aib mojood hai to is ki sakhti ke sath islaah ki jaye aur is gunah ko hamesha hamesha ke liye tark karne ka musammam iradah kerein taakay Siraat e mustaqeem haasil ho , Muraqba ka lutf aeye aur tasfia e qalb ka zareya ban sakay .

Yaad rakhein qalb aik aaina hay yeh jab insaan gunaaho ka murtakib hota hai to is mein dhabba aa jataa hai yahan tak ke tareeki chhaa jati hai , halal o haraam ka farq baqi nahi rehta jab aainay mein nuqs peda hojaye ya dhabba aajay to kis qader nagawaar maloom hota hai agar aisay aaina ki madad se husn o jamal ka muaina karne ki koshish ki jaye to aap bakhoobi samajh satke hain ke tasweer ko kya se kya bana daaley ga lehaza qalb mein tareeki hargiz waqay nah honay paye .

Hum koshish karein ge ke chand mazeed mazameen is silsilay mein paish kiye jayen aur deegar qawaid se bhi shaiqeen ko roshnaas karwaya jaye fi zamana waisay bhi haq o baatil is tarha gudmud ho chukay hain ke kharray khote ki tameez karna mushkil hogaya hai aisay zamanay mein, amaliyat ki be asri, roohani taaqat ki kamzori, yaksoi ka fuqdaan , ko kosnay ki bajaye zaruri hai ke sab se qabal qalb ka tasfia kiya jaye taakay qalb ki tareeki maalik e kaayenaat ke noor e Jalila se Roshan o Munawwar ho sakay.