Amal e Husool e Aulad | Pir Syed Waris Ali Shah Jilani (Late)

     Amal e Husool e Aulad    

Baaz aurtain shadi ke baad aulaad se mahroom rehti hain jis ki wajah aksar aurton ki androoni kharabi hoti hai. Jismani ilaaj mualija se sehet mumkin hai lekin baaz auqaat aurtain jismani tor par tandrust hoti hain aur kisi qisam ki kharabi nahi hoti. Lekin is ke bawajood aulaad nahi hoti is ko arabi mein aqar aur urdu mein banjh pan kaha jata hai aur woh aurat aqeema  ke zimn mein aati hain. Aisi aurat ka ilaaj siwaye roohaniyat ke kahin nahi. Buzurgon aur aamilin hazraat ne is ke liye allag allag tareeqa haae ilaaj ikhtiyar kiye hue hain sab se mo-asar aur kamyaab ilaaj qurani ayaat ka hai. Aisi ayaat jin mein hazraat anbia a.s ne aulaad ke liye dua ki ho ya aisi ayaat jin mein muzakkar o monas aur nar o madah ka zikar ho aisi tamam ayaat likh kar aurat ke galay mein bandhna ya rozana is waqt tak pilana jab tak woh haamla nah hojaye. Lekin aaj ki mehfil mein aik aisa nadir o nayaab amal bayan kar raha hon jo mujhe apne waalid Majid peer e tareeqat hazrat Allama Peer Syed Faqeer Ali Shah Jelani al-qadri sajjada nasheen darbaar qadriyah ( zila hoshiyar poor ) se inayat hwa tha inhen apne peer o murshid qutub e aalam hazrat Allama Syed Meher Ali Shah Gilani Chishti Nizami se mila tha. Mein ne is amal ka senkeroon banjh pan ki aurton par tajurbah kya hai. Mere paas yeh amal inqilab se qabal ka hai jis ka tareeqa yeh hai ke aik pao “Ajwain desi masfa” aur un ke humwazan “siyah mirch” , qamri mah saabit ke pehlay du shnbah (Monday) ke din baad tulu e aftaab pehli saa-at qamri mein bawazo qibla ro baith kar awwal o aakhir 11 martaba duroood shareef parheen aur darmain surah Wsh-Shams 41 martaba parhein. Phir ism e Ilahi safaati “Ya Wariso”  aur ya “Musawwiro” aik aik hazaar baar parh kar Ajwain aur siyah mirchon par 3-3 martaba phoonk marain aur aqeema rozana baad  e namaz e Fajar ya baad tulu e aftaab shahadat ki ungli aur angothay se chand danay har dono se utha kar Bismillah shareef parh kar munh mein daal kar nar bachhre wali gaaye ya nar bachay wali bhens aur bakri waghera ke doodh se rozana khaya kere.

Nagha nah karay kisi wajah se subah nah kha sakay to baad azan jab bhi fursat miley kha lay. Agar kahin doosri jagah jana parre ya kisi rishta daar ki khushi o ghami mein shirkat o shamoliat ke liye jana parre to kisi plastic ki dibiya mein zaroorat ke mutabiq dono cheezein daal kar le jayen aur wahan doodh se khati rahay taakay nagha waghera nah ho. Khatay waqt husool e aulaad ki niyat kray ke Allah taala mujhe apne fazl o karam aur Rehmatul-lil-Aalamin Sallalahu Alaihe Wa Aalehe Wassalam ke waseelay o Tasadduq se sahib e aulaad banaye.

Is amal ke douran shara’an koi pabandi nahi lekin tibbi tor par machhli, gosht, gaaye bhens, begun aur masur ki daal nah khaye baqi tamam sabzian, daalein aur gosht waghera kha sakti hain.

Afzal aur behtar hai ke surah Wsh-Shams zafran se likh kar chamray ke taweez mein band karkay galay mein daaley aur har namaz ke baad apne shikam par dayen hatheli rakh kar 72 martaba yeh Asma e Ilahi parha karay .
“Ya Wariso Ya Musawwir Ya Mateeno”  In Sha Allah taala 9 mah ke andar andar zaroor bar-aavr hogi. Agar yahi teen Asma e Ilaahi plate par zafran se 9-9 martaba likh kar arq e ghulaab ya arq e gao zaban se dho kar rozana peeti rahay to yeh Asma sonay par suhaga ka kaam deingay.
Bahami sohbat aur ikhtilaat o khalwat ke liye baad az Faraghat haiz har teesray din ( yani taaq raatain ) munasib aur mozoon hain, aur woh bhi yakum mah e qamri se 13 qamri tak .