Aijazul Jafar | Ilm e Jafar Asaar – Sharf e Qamar ka aik nadir o nayab amal

Sayara e Qamar (chand) hamari zameen ka nazdeek tareen hamsaaya sayara hai yeh burj e sartan ka maalik hai jo ke dairatul burooj  ka choutha burj hai aur aabi burj hai yeh raat ke waqt hamari duniya ko roshan karta hai Saree-us-Sair (taiz chalnay wala) aur Saad asghar hai, har burj ko sawa do din mein tey karta hai aik darjah ka waqt qareeban do ghantay ka hai .

qamri saal 354 din 8 ghantay aur 48 minute ka hota hai yeh muzakar hai jab yeh burj Saur ke 3 darjah par ho to usay Sharf haasil hota hai aur burj e aqrab ke 3 darjah par hi usay haboot hota hai Amil aur munajjim hazraat is ke Sharf mein jo zayed al-noor mein ho se kayi amal tayyar karte hain. yeh waqt har mah aata hai is silsila mein aap kisi qareebi Munajjim se madad le satke hain ya barah e raast hamein email karkay is waqt ke mutalliq jaan satke hain .
aap nay beshumar Sharf Qamar ke aamaal dekhe hon ge lekin is waqt jis amal ko tehreer karne ja raha hon yeh aik nadirul-wajood amal hai jo taskheer e haakim, adaigi  e qarz, mulazimat, taraqqi, waghera jaisay maqasid mein teer ba-hadaf hai .

Naqsh ain Sharf ke waqt arq ghulaab o zafran se tayyar kardah siyahi se Bukhoor lobaan kafoor, Sandalin aur oud sulga kar ru-ba qibla baith kar allag jagah khamoshi se tehreer karen tareeqa yeh hai ke naam  e taalib ma walida ke adaad ba zarea abjad qamri lein un adaad mein 1493 jama karen aur naqsh musallas tayyar karein jis khanah mein jo Adad aeye is ka muwakkil bhi isi mein likhain is musallas ke pur karne ka tareeqa yeh hai ke kul adaad se 12 Adad kam karkay 3 par taqseem kar dein aur kharij qismat ko khana e awwal mein rakh kar naqsh pur karen baqi aik bachney ki soorat mein khanah 7 mein aik ka izafah karen agar baqi do bachay to khanah 4 mein aik Adad ka izafah hoga. is terha naqsh pur hojaye ga, mein kayi baar naqoosh pur karne ke tareeq likh chuka hon samajh nah aeye to deegar mazameen ki janib rujoo karen .

Darmiyani khanah mein harf ke agay lafz yosh lagayen aur ird gird ke khaanoon mein huroof ke sath eil ایل lagayen ge, muwakkil sifli o ulwi peda hon ge .

Yeh naqsh pehlay din aik so, dosray din aik so aik, aur teesray din aik so do martaba isi terha rozana aik aik ki tadaad berhate jayen ge aakhri roz 108 naqsh likhay jayen ge .

Yeh amal aisay Sharf Qamar mein karen ge jo qamri mah ke shuru ke 14 dinon mein aeye, woh Sharf e Qamar jo islami 14 tareekh ke baad lagey is mein amal karne se taseer ya to zahir nah hogi ya bohat hi kam hogi .

Hum yeh amal  2 March 2017 bawaqt shaam 4 bajkar 5 minute par shuru karen ge. hum 2 March se shuru kar ke 10 March tak amal karen ge .

Agar is waqt se faida nahi utha sakay to phir dosra waqt April ki 30 tareekh bawqt 0 bjkr 3 minute yani 29 tareekh ka din guzaarne ke baad jo raat aeye gi is raat 12 bjkr 3 minute par amal shuru kya ja sakta hai ( is waqt yeh zaroor dekh liya jaye ke naya chaand nazar agaya hai ya nahi ) tareeqa-e-kar  ke mutabiq 100 naqsh rozana likhnay honge har doosray din aik naqsh ka izafah karte jana hai har aik din ke naqsh alehda alehda lifafo mein band karte jayen. Oopar yad  dihani ke liye tareekh likhte rahen .

 Ab dekhen ke un ayyaam mein maqsad poora hua ya koi asr zahir hua. agar nahi hua to dosray din yani jab 108 naqoosh taq ja puhanche hon is ke aglay din isi muqam o jagah par pehla lifaafa kholein jis mein aik so naqoosh hunge aik chairag jo ke matti ka ho naya ho is se qabal istemaal nah hua ho , mein un so naqoosh ko yakja karkay aik Fatilah bana len ab
is chairag mein roghan gao (desi ghee) aur qadray shehad mila kar. oopar pakeeza roi (cotton) lapait len aur chairag ka mun khanah matloob ki taraf, rizaq ke liye munh maghrib ko rakhen ge aur khud paas baith kar aayat “yuhibboonahum kahubbil laahi wallazeena aamanooo ashaddu hubbal lillah” parhein.

Doosray din dosray naqoosh ki batii bana kar jalayen aur isi tarha parhein. goya aindah mazeed aath dinon mein yeh tadaad khatam ho jaye gi . Matloob hai to burhena-pa o sar haazir hoga. haakim hai to woh Mutee hoga agar taraqqi ya rizq ka koi sawal hai aur taskheer se mutalliq nah ho to phir bajaye naqoosh jalanay ke rozana ke naqsh aattay ki golion mein mila kar rawan pani mein bahanay hon ge. ikathay nahi balkay aik aik bahanay hon ge. aur naqsh phenkhte waqt aik baar aayat yuhibbunahum parhein ge aur qudrat ka tamasha dekhen.

Insha Allah aap ki mehnat raaygan nahi jaye gi. kisi parhaiz ki koi zaroorat nahi Albata haraam , fahash goi waghera se khud ko mehfooz rakhen . ab mein aik misali naqsh se is saaray amal ko samjhane ki koshish karta hon. taakay aap ko amal istikhraaj karne mein dushwari paish nah aeye . yaad rahay ke durust amal ka istikhraaj hi aap ke maqsad ke poora honay mein madad day ga. warna mehnat aur waqt dono ka ziyaa hai .
misaal : taalib ma walida ke adaad 461
matloob rizq ke adaad : 307
aayat ke adaad : 1493
kul majmoa : 2261
ab kul majmoa 2261 se 12 kam kiye to 2249 hue ab 3 par taqsim kya to 749 kharij qismat baqi 2 raha. yeh khanah 4 mein aik ke izafah se naqsh pur karen ge. muwakkil khanah awwal ka 749 toy meem zaal hua
700   40   9

ط    م      ذ

( Ya موکلات naqsh haza falan bin falan ke liye rizq mein kushadgi ki rahein peda karo behaqqe “yuhibboonahum kahubbil laahi wallazeena aamanooo ashaddu hubbal lillah”) baraye rizq

( Ya muwakkilat musakhir girdaan falan bin falan behaqqe falan bin falan
bahaq “yuhibboonahum kahubbil laahi wallazeena aamanooo ashaddu hubbal lillah”) baraye taskheer qalb o Mutee o farmabardari

yani naqsh ke neechay apna maqsad wazay tor par tehreer karen. koi aisa mushkil tareeq nahi hai. mehnat karen ge to is ka sila bhi azeem hai phir amal ki saari koft aik lamha mein door ho jaye gi. jo hazraat mehnat se jee churatay hain wohi na kaami ke shaaki hotay hain bagair mehnat ke kuch haath nahi aata .
Allah aap sab ka haami o nasir rahay