Istikhara Ka Mujarrib Tarika

roohanialoom-urdu-language-main

Aksar zaruratmand afrad free online roohani service ka form fill karkay Istikhara ki guzarish kartay hain . Istikhara durasl apnay kisi amar main rab ki janib ruju kartay huway mashwara lenay ko kehtay hain , humaray muashray main aksar iska istemal shadiyon ( marriages ) kay waqt nazar aata hai . Iskay beshumar tarika jaat ( methods ) ulma e roohaniyat nay bayan kiye hain . Jab keh Ahadees main bhi kaee tareeqay darj miltay hain . Istikhara ki iqsam main chand maroof iqsam yeh hain .
1. Quran kay zariye Istikhara

Qurani istikhara main sawal zehen main rakhtay huway makhsoos Namaz Ya Dua e Istikhara parhtay huway Quran ko khol kar pehla safha ya jo tareeq ho uskay mutabiq ayat per gaur kiya jata hai , Ager ayat e khair ho to us kaam ko karne main behtari or ager ayat main qeher o ghazab ka zikar ho to us kaam main nuqsan se muraad li jati hai .

2. Tasbeeh se Istikhara

Is tareeqa e kaar main bhi makhsoos Dua e Istikhara parhtay huway tasbeeh kay danoo per haath rakha jata hai, phir kuch makhsoos tadad kay mutabiq tasbeeh kay danay shumar ( count ) kiye jatay hain , baqi bachnay walay danoo kay adaad o shumar kay mutabiq naik o bad ka taiyyun kiya jata hai .

3. Bazariya Khuwab Istikhara

Is tareeqa e kaar main mukhtalif qurani ayaat , duaein , naqoosh , talasim wagera se madad li jati hai , matlooba sawal ka mukammal or shafi jawab bazariya khuwab hasil hota hai jis se matlooba kaam ko anjam denay ya na denay kay mutalliq mukammal agaahi hasil ho jati hai.

Iskay ilawa bhi beshumar tareeq miltay hain lekin yahaan mashhoor o maroof tareeqay he darj kiye gaey hain . Aaj yahaan jis istikhara ka tareeqa pesh kiya ja raha hai yeh zaati taur per kaee arsay tak mera mujarrib raha hai , Aap istikhara khuwa shadi kay liye karna chah rahay hain ya deegar kisi gharz se , Ager Izn e Rabbi se yeh istikhara khul jaata hai to zindagi bhar apnay tamaam muamlat main is se madad lay saktay hain .

     Istikhara Ka Tarika

Naya chand ( New Moon ) dekhnay per jo pehla jumma aaey ( Jumerat ka din guzar kar jo raat aaey jis ki subh ko jumma hoga ) to raat kay 12 bajay kay baad yaani nisf raat guzarnay kay baad ghusal karein or pak o saaf kapray pehen kar khushbu lagaein , Jis musallay per amal karein is musallay per bhi khushbudar phool daalein or muattar karlein. Bukhur Sandal ka roshan karein.
Amal kay waqt koi doosra kamray main mojood na ho .
Pehlay 2 rakat nama e nafal parhein , pehli rakat main Surah e Al Hamd kay baad 3 martaba Surah e Alam Nashrah .
Doosri rakat main Surah e Al Hamd kay baad 3 martab Surah e Ikhlas parhein .
Salam phair kar 101 martaba yeh ayat parhein

عٰلِمُ الۡغَیۡبِ فَلَا یُظۡہِرُ عَلٰی غَیۡبِہٖۤ اَحَدًا اِلَّا مَنِ ارۡتَضٰی مِنۡ رَّسُوۡلٍ  (سورہ الجن آیت نمبر 26 اور 27 کا شروع کا کچھ حصہ)۔

Awwal o akhir 3 martaba durood shareef parhein.
Jab 101 martaba yeh ayat parh chukein to phir 2 rakat namaz hasb e sabiq ada karein or phir is ayat ko 101 martaba tilawat karein , phir khatam honay per 2 rakat namaz parhein or phir 101 martaba is ayat ki tilawat karein , phir 2 rakat namaz phir ayat ka wird.
Yaani 2 – 2 karkay kul 8 rakat namaz ada ki jaaey gi .
Amal khatam honay per jis kaam kay nateejay kay liye tashweesh ho ya jis kay baray main aap janna chah rahay hon iski itlah ki Allah se dua mangein .
Yaani dua karein keh Ilaahi Fulaan amar main jo honay wala hai is se mujhy agaaha farma . Dua maang kar isi musallay per qibla rukh ho kar so jaaein.
Insha Allah Ta’ala tamam haal munkashif ho jaaey ga . Lekin ehtiyat karein keh namaz Subh qaza na honay paaey or iskay liye intezam karein keh namaz subh waqt per ada kar sakein.
Ager aap 12 bajay ghusal karna shuru karein to 2 bajay tak is amal se farigh ho saktay hain . Khuda na karay ager kisi wajah se pehlay dn haal maloom na ho to doosray din phir is amal ko karein or bazarurat teesray din bhi karein . Bohot se qareebi jaannay walon nay is amal se faiz hasil kiya hai or bohot kum mushahiday main yeh baat aayi hai keh 3 din amal karnay ki zarurat parrri ho .
Bahrhaal amal ki inteha 3 youm hai . Insha Allah tamam haal parda e gaib se saaf saaf zahir hoga . Woh log jin per istikhara khul chuka hoga unhein pehli raat he ilm ho jaaya karay ga .

2 Comments on "Istikhara Ka Mujarrib Tarika"

  1. Best amal e istikhara sir
    Thank you very much

  2. Raza Najafi | July 9, 2018 at 5:07 am |

    Sir star me jb yeh aml krta tha to 4,5 din me answer milta tha ab Alhumdulillah 2nd 3rd day he mil jata hy . Meine is se bahut faeda uthaya he Allah apko humesha khush rakhe Ameen summa Ameen

Comments are closed.