Taskheer e Huroof e Taskheer

     Huroof e Taskheer ki Taskheer 

Aap main se aksar kay ilm main yeh baat hogi keh Arabic haroof e tahaji kay aitbar se haroof e abjad ki tadad 28 hain , ab khuwa yeh tarteeb abjad e shamsi kay aitbar se ho ya abjad e qamri kay lehaz se. Aap main se aksar yeh bhi ilm rakhtay hongay keh huroof ki bhi beshumar iqsam hain jin main awam main jo ziada maqbool hain woh ” Huroof e Sawamat ”  (حروف صوامت) aur
” Huroof e Muqataat ” (حروف مقطعات) hain. Lekin wazeh hona chahiye keh inkay ilawa bhi huroof ki beshumar iqsam hain jin main Haroof e Taskheer, Huroof e noorani o Zulmani , Haroof e shamsi o qamri wagera shamil hain , Kash Al barni marhoom nay in kay mutalliq bohot kuch tehreer farmaya tha lekin tamam iqsam ka tazkira unhone bhi nahi kiya . In Huroof ki baqaeda qawaid kay mutabiq zakat ada karkay inki taskheer ki ja sakti hai taakeh bawaqt e zaroorat in se mustafid hua ja sakay.
Huroof e Taskheer jaisa keh naam se zahir hai keh in huroof main kisi ko taskheer karnay ki beintehaa salahiyat payi jati hai is se qabal keh in huroof se mutalliqa zakat ya amal kay mutalliq kuch likha jaey , sub se pehlay huroof e taskheer mulahiza kijiye .
Yeh tadaad main 17 hain .
ا ت ث ح خ د ذ ر س ش ض ظ غ ف ق ک م
Adaad e Abjad e qamri 1858 aur adaad abjad e shamsi 5713 hain .

Yaqeen jaaniye keh ager in huroof ko aap ager apnay tasarruf main laanay main kamiyab ho gaey to mazeed aap ko kisi doosray amal e hub ki zarurat nahi rahay gi . Bulkeh sirf yehi huroof aap kay liye kafi sabit ho saktay hain.  Huroof e sawamat ki beshumar ashaab nay zakat ada kar rakhi hai aur yeh bhi bakhubi jantay hain keh huroof e sawamat se imtezaji sitar kaisay tayar ki jati hai aisay tamam afrad kay liye yeh tareeqa samajhna nehayat he asan hoga .

     Huroof e Taskheer ki zakat ka tareeqa

Sub se pehlay iski zakat ada ki jaey phir isay apnay amoor main istemal kiya jaey . Tareeqa yeh hai keh Nauroz kay auqat ( Jab Sayara e Shams burj e Hamal main dakhil ho) in huroof ko likhna shuru kar dein . Safaid kaghaz per aik janib 1858 martaba. Dauran e Zakat agarbatti sulag rahi ho , Rijjal AlGhaib ki janib pusht ho , Jab muqar-rera tadaad khatam ho jaey to in tamam kaghzat ko jin per aap nay adaeigi e zakat kay liye in huroof ko tehreer kia tha , tehh karkay kisi numnaak muqam per dafan kar dein . Ab aap in hruoof se kaam lenay kay mijaz hain . In Huroof ki rozana mudawamat ki zaroorat nahi . Aap aainda aik saal tak in huroof se kaam lay saktay hain .

     Huroof e Taskheer Se Kaam Lenay Ka Tareeqa

Naam e Talib + Naam e Walida e Talib  Alaa Hub Naam e Matloob + Naam e Walida e Matloob
Is sitar ko basat e harfi karlein .
Huroof e taskheer kay sath imtezaj dein.
Ager kisi sitar main huroof kum hon to az sar e nau huroof liye jaingay .
Imtezaj Shuda Sitar se bar’amad honay walay huroof kay 4 harfi kalimat bana lein.
Aaiye aik farzi misal se is marhalay ko samajhtayhain .

زید علی حب بکر

ا ت ث ح خ د ذ ر س ش ض ظ غ ف ق ک م
ز ی د ع ل ی ح ب ب ک ر ز ی د ع ل ی (ز ی د ع ل ی )۔
Hamari sitar kay huroof ki tadad ( ziad ala hub bakar wali) , sitar e awwal ( Huroof e taskheer ) kay huroof ki tadaad se kum hai , isliye ز ی د ع ل ی dubara se lekar huroof ki tadaad sitar e awwal kay barabar kar di gayi.
In donoo ko imtezaj karkay jo sitar hasil hui woh darj zail hai .
ا ز ت ی    ث د ح ع   خ ل د ی   ذ ح ر ب   س ب ش ک   ض ر ظ ز  غ ی ف د   ق ع ک ل   م ی ۔
Chaar harfi kalmaat banaey gaey .

ازتی تدحع خلدی ذحرب
سبشک ضرظز غیفد قعکل
می

     Huroof e taskheer ka amal kab tayar karein

Tasdees o Tasees e Qamar ya Atarad , Ya Zohra
Ya Phir
Qiran Qamar Ba Zohra , Ya Qamar Ba Mushtari

     Tareeqa e Istemal

4 adad naqoosh zafran o arq e ghulab se tayar karda siyahi se rijjal alghaib ka lehaz rakhtay huway mutalliqa siyargan ka bukhur sulga kar tehreer karien.
Aik naqsh talib ko pass rakhnay kay liye dein.
Doosra naqsh kisi phaldar ya phooldar darakht (tree) se bandhnay kay liye dein.
Teesra naqsh kisi qabar main dafan karnay kay liye dein.
Choutha naqsh pani kay kinaray dafan karnay ki hidayat karein.
Insha Allah Ul Aziz nataeej aap ki tawaqqo se bhi barh kar baramad hongay .
Note : Yeh amal aur is qissam kay deegar shaya honay walay amaal sirf jaiz jagah per istemal karein basurat e deegar fauri raj’at main mubtila hongay . Aisi surat main raqim ul huroof aur idara roohani aloom dot com bariuz zimmah hoga.

 

 

1 Comment on "Taskheer e Huroof e Taskheer"

  1. I need to speak to u please.need ur phone no

Comments are closed.