27 Ramazan / Ramadan Mubarak Aur Amal e Kushadgi e Rizq

27-ramzan-al-mubarak

27th Ramazan / Ramadan Mubarak Aur Amal e Kushadgi e Rizq

Hamari koshish yehi hai keh hum apnay viewers tak woh amaal pohonchaein jin ki unko zarurat bhi ho aur hamare tajarubat ki meezan per mukammal bhi utar chukay hon, Isi gharz kay tehet koshish ki gayi hai keh asan se asan amal ko likha jaye jo asrat kay aetebar se apni misal aap ho . Maah e ramazan mubarak ka “Maah e Karim” jaari o saari hai isi ki munasibat se aik amal dia ja raha hai jisay her fard ba-asani khood apnay liye tayar kar sakta hai amal e haaza Allama Ghulam Abbas Shad Gilani Marhoom ka hai kaee salon se meray zaati mujarribat main se hai lehaza hadiya kiya ja raha hai .
27 maah e ramzan ki shab ko baad e namaz e isha 7 daanay jau (barley) kay lay lein aur her daana e jau per 70 martaba Ya Razzaqo parhein .

Ab in 7 daana haaye jau ko kisi kapray ya kaghaz main lapait kar apnay batway main rakh lein . IN SHA ALLAH aik saal tak woh batwah roopiyon se hamesha pur rahay ga .
Is amal ko mamooli mat samajhiye ga . Kiyoonkeh aksar dekha gaya hai keh log asan cheezon ki janib tawajjah nahi detay or mushkil se mushkil tareen amaal ko fouqiyat di jaati hai.