Kia apka karobar apke naam k adad se match karta hai?

     Karobari Adad Kia hain ?   

Yeh woh Adad hota hai jo aap ke roz marrah ke karobari muamlaat ya tijarat ke muamlaat par hukoomat karta hai. Is adad ko jannay ke liye aap ko poora naam istemaal karna parta hai takhallus ya urfiyat se kaam nahi chalta. Aap apne naam ka mufrad adad hasil karein , yeh adad hasil karne k liye yahan click karein  . 

 

Maslan hassan ka mufrad adad aik hai aur woh engineering se mansuba pesha ikhtiyar karna chahta hai to naam mein aisi tarmeem karay ke mufrad Adad 4 haasil hojaye is liye ke engineer se mansuba pesha Adad 4 ke tehat hai .

Karobari adaad ki tafseel darj zail hai. Aap maloom karein aap ka number aap ke kaam ke mutabiq hai bhi ya nahi ?

  1. Yeh woh Adad hai jo khud mukhtaar tijarat ya kaam ke liye intehaayi mozu hai khususan un ke liye jo ikhtraa’at o ijadaat mein maahir hon maslan ustad, lecturer scientist,  moajjid aur muntazmeen. Is ke zair e assar aadmi ko nai nai jeddatain karna chahiye.

  2. Is Adad ke tehat chalaki aur tadabbur hai jo aadmi siyasatdan aur musannif qisam ke hain woh usay mufeed paaingay adaad o shumaar ka kaam karne walon ke liye bhi yeh number achaa hai tijarat karne ke liye bhi mufeed hai agar woh tijarat mein tadabbur aur istiqlal ko haath se nah jaanay dein.

  3. Yeh Adad un logon ke liye mufeed hai jo aam public se wabasta kamon mein hissa lein maslan jo filmon ya theatres se talluq rakhtay hain woh log jo ashya ki khuli farokht karein ya radio par kaam karein ya muqarrar hon ya sahaafat mein qadam rakhein yeh log apni taba-ee bulandi se duniya bhar se daad tehseen haasil kar sakte hain jo log apne liye waqf qisam ka kaarobar karein un ke liye yeh number mozoon hai.

  4. Yeh number san’at aur tameeri kaam ka hai aur un logon ke liye mozoon hai jo mai-maar, engineer, naqsha nawees mechanic ya dastkaar hon khusoosan un ke liye jo kisi barray karkhanay mein kisi zimma daarana kaam par maamoor hon jo behtareen saakht ki ashya tayyar karta ho doosri taraf yeh number un ke liye mozoon nahi jo zehni takhiyulaat se koi halkay ya naazuk kaam karein ya daqeeq kaam karen .

  5. Yeh Adad un admiyo par dostana tareeqa se assar andaaz nahi hota jo aik hi lakeer peetnay ke aadi hon yeh Adad un ke liye mozoon hai jo naye naye takhiyulaat peda karein aur inhein biroey-kaar layain ya woh aadmi jo kisi bhi qeemat par barray se bara tajurbah karne ke liye tayyar hojaye. Aisa tajurbah jis mein agar faida ho to bhi bohat ziyada aur nuqsaan ho to na qabil e talaafi. Woh log jo kisi bhi khatray ko mol lainay ke liye tayyar nah hon aur is dar se naye naye tajarbay nah kar sakein. Woh is Adad se jis qader ho sakay ehtiraz karein warna inhen zindagi mein kabhi sukoon muyassir nah hoga .

  6. yeh Adad khasusiyat se kamyaab ghar par aurat ka hai aur is Adad se aqeedat aur mohabbat wabasta hai ya yun samajhiye ke yeh Adad un logon ka hai jin se dosaron ki zindagiyan wabasta hain aur zimma daarana kaam par maamoor hon yeh Adad nurses. mission mein kaam karne walon aur qaumi khidmat karne walay admiyon ke liye makhsoos hai .

  7. Yeh Adad un logon ke liye waqf hai jo apne aap hi zimma daar taur par koi kaam karte hon. Maslan artist jo baghair dosron ki madad ke apna shahkaar pesh karne ke liye tan-dahi se koshaan rehta hai. Is Adad ke zair e assar log mustaqil mizaaj hongay aur apne hi zor e baazu par nazaan rehne walay. Woh kabhi kisi ke dast nagar nah hongay .

  8. Yeh Adad un ke liye khasusiyat se waqf hai jo muntazim tareeqay ke aadmi hon ge ya woh Afsar jo kisi intizami duty par Faaiz hon .

    Is number ke zair e assar aadmi aasani se fatah haasil nah kar sake ga, balkay woh un thak aur lagataar koshish se apne maqsad mein kamiyab hoga. Number 8 sakht mehnat aur tan-dahi ke liye hai is ke zair e assar aadmi ko kaee mayoos kun nakamiyoo se waastaa parta hai lekin woh har aik nakami aur mukhalifat ko Khanda peshani se bardasht karega aur bil-akhir tamam-tar ranj o gham , fatah ki soorat mein tabdeel kar dega .

  9. Yeh Adad tijarat aur kaarobar mein chalaki aur takhta e mashq honay ki alamat hai baaz halaton mein yeh makkaari ki alamat bhi hai. Yeh un logon ke liye mozoon hai jo kisi bhi tareeqay se mehez kamyabi ke khwahan hon agarchay yeh kamyabi mustaqil nah hogi mehez aarzi hogi is Adad ke zair assar aadmi mustaqil mizaji aur tahhaamul se bay-niaz hongay woh kisi cheez mein fatah haasil karne ke liye kabhi sar dhar ki baazi nah lagaaingay balkay kuch himmat karein gay aur baqi quwat e muta-khi-yela (khayal main lanay ki quwat , sochnay ki quwat , aik dimaghi quwat ka naam jis se insan gair hazir cheezoo ka naqsh dil main banata hai , wehem , khayal qayas wagera. Ref : Feroz ul lughat) he se kamyabi ke khawab dekheingay.

Go-keh abhi online abjad e qamri kay calculator kay baad kisi chart wagera ki zaroorat baqi nahi rehti lekin phir bhi shaiqeen e ilm ul adaad kay liye hum “abjad e e-qagh” ka table pesh kar detay hain.

9 8 7 6 5 4 3 2 1
ط ح ز و ھ د ج ب ا
ص ف ع س ن م ل ک ی
ظ ض ذ خ ث ت ش ر ق
x x x x x x x x غ