Roohon Ki Madad Se Khud-Bakhud Likhney Ka Ilm
Apne aksar horror movies main dekha hoga keh mutasira shakhs ya khatoon aik table per paper per pen wagera se kuch likhay ja rahi hai or jab tehreer per gaur kia jata hai to ilm hota hai keh wahaan mojood pur-israar quwat kuch batlaana chah rahi thi , Kya yeh mumkin hai keh kisi rooh ki madad se paper pen le kar us per kuch likhwaya ja sakay ?
to jawab hai ” Haan ” yeh bilkul mumkin hai aap bhi koshish karkay is tarha kay sawal o jawab kar saktay hain lekin yaad rakhiye keh yeh koi mazaq nahi , aisay shoq pooray karnay kay liye dil jigar darkar hai , pehlay apni himmat o taqat ko dekhiye , phir kisi se mukammal rehnumai le kar is shoq ko poora karnay ki koshish karein , kahin aisa na ho keh lenay kay denay par jaaein .
Az khud naveesi ya tehreer e na danista
Az khud naveesi aik farsi ka jumla hai is se murad aisi tehreer hai jo khud-bakhud likhi jaaey. Albatta hum kaheingay keh aik aisi tehreer jo qalb se kaam liye baghair ki jati hai. ziyada wazeh alfaaz mein Az khud naveesi aisi tehreer ko kehte hain jis mein haath aur baazu ki jismani taaqat na danista taur par kaam mein layi jati hai , asaan lafzon main isay “The art of spirituality writing bhi kaha ja sakta hai” albatta yeh ouija board ya planchette se bohot mukhtaleef hai.
Is liye is qisam ki tehreer ke fun ka naam Az khud naveesi ya tehreer na danista rakha gaya hai. yeh darasal rooh o khayaal ki photography hoti hai. Is tehreer ko shahod mein laane ke liye mamooli taur par aik pencil haath mein le li jati hai aur is ko kaghaz par rakhtay hain thori he dair mein maloom hota hai ke pencil ko khafeef si jumbish ho rahi hai. Jis se kaghaz par kuch nishanaat parrtay jatay hain rafta rafta nishanaat silsila waar mut-wa-tir hotay jatay hain un se halqay (circles) se ban jatay hain baad azaan un-he nishanaat se huroof phir alfaaz isi tarha aakhir kaar pooray jumlay tehreer ho jatay hain az khud naveesi ke liye sab se acha tareeqa yeh hai keh baazu ko is tarha rakha jaye ke maiz (table) bilkul alaiheda rahay isay chhunay nah paye.
Yani kalaayi, kohni ya baazu ka koi hissa is se mas nah karein aisa karne se bohat jald baazu mein thori si thakawat mehsoos honay lagey gi aur is thakawat ke peda hotay hi Az khud naveesi ka aaghaz honay lagta hai is qisam ki tehreer ke liye yeh nihayat zarori hai ke Amil apne haath ki taraf se apni tawajjah bilkul hata day, yani apni quwat iraadi ya ba khabri ko haath ki junbish ke liye zara bhi harkat nah day haath ko bilkul bay- tawajjahi ke sath khud bakhud harkat karne ke liye chhor dein. Apni quwat e iraadi ko kaam mein laa kar kuch nah likhain haath apna kaam khud bakhud karay khuwa is se jo chahay tehreer ho , fuzool aur laghw hi kyun nah ho .
Baaz log pencil ko apni pehli aur doosri ungli ke darmain rakh kar Az khud naveesi kar lete hain lekin khayaal rakhein ke jis tareeqay se aap ko Az khud naveesi mein sahoolat ho isi tareeqay ko kaam mein layein. dil o dimagh se jahan tav mumkin ho koi kaam nah lein har qisam ke khayaal ko door kar dein.
rafta rafta aap ko aisa karne ke sath he sath baat cheet karne aur kitaabein parhnay ki mashq hosakti hai , aik he waqt mein dosri baton ki taraf bhi tavajja mael ki jati hai aur woh tehreer bhi jari reh sakti hai. lekin shuru shuru mein aisa karna mumkin nahi hai sab se pehlay baat jo aap ko karni chahiye woh yahi hai ke dil mein koi iradah aur koi mouj peda nah ho taakay doosri taraf ke nataij ke muntazir rahen .
Az khud naveesi ki mashq ko taraqqi dainay ke liye rozana pandrah 15 ya 20 minute se ziyada nahi baithna chahiye. agar mumkin ho toh roz aik he muqarar waqt par betha karen in do qaidon ki pabandi do baton ke liye bohat zarori hai.
Awal: Aap ke aalam e arwah ke dost, jo bilaa shubbah fun Az khud naveesi mein madad dainay ke liye koshaan rehtay hain imdaad ke liye. Gair muayyana waqt ke maqaabil mein muqarar waqt par aasani se atay hain aur khaas taur par agar aap un ko anay ke liye theek theek bata den jab aap apni tehreer khatam karein tab Ba-Awaz e buland yeh keh dena bohat achi tarkeeb hai ke “Tashreef le jaiye aur kal hum aap ke pighamon ke liye isi muqarar waqt par milein ge” .
Doosri baat yeh hai ke waqt ka aik khaas pemana muqarrar kar dena chahiye is ka kuch hisaab rehna chahiye jab is qisam ki Az khud naveesi ka fun haasil hogaya aur aik martaba roohon nay aana shuru kar diya to nataaij mein dilchaspi peda hojaye gi yeh woh waqt hota hai jab ke log hathon ki tehreer ke liye is qadar be taab rehtay hain ke phir waqt ka lehaaz nahi karte. aur agar koi khaas zaroori kaam nahi hota to ghanton Az khud naweesi karte, aur jo pegham mosool hotay hain un ka jawab dete rehtay hain, is se nuqsaan pounch-nay ka ihtimal hota hai mein mandarja baala dono sharait ko bohat zarori aur ahem khayaal karta hoon. Is amr mein kamyabi aur taraqqi in dono nasihaton ki pabandi se hogi aur isi usool se apni khud naveesta tehreron mein kisi qisam ki diqat ya takleef ka saamna nahi hota .
Is kaam ke liye kamra tanha ho koi Fard is mein mojood nah ho, nah hi tavajja hatnay ke zaraaey mojood hon taakay aasani se is ki mashq ki ja sakay jab pencil mein harkat hogi to paighamaat woh zaraye se milein ge ya tu kisi nah kisi rooh ki taraf se honge ya aap ki apni rooh ke hon ge ya aap ke hamzaad ke hon ge jaisay jaisay mashq ziyada hogi pegham bhi wazeh milein ge aur is baat ka bhi pata chal jaye ga ke pegham kis taraf se aa rahay hain.
Fun az khud naveesi ki takmeel
Is mein shak nahi ke Az khud naveesi likhnay walay ke haath aur baazu ki harkat is ki jismani quwat se hoti hai jo matehat ya be khabri ke aalam mein wazeh hoti hai ziyada tar aisa he hota hai lekin itna keh dainay se Az khud naveesi ka assar achi tarha zahir nahi hota jaissa ke baaz logon ka khayaal hai .
Is amar ko tasleem karte hue ke asli tehreer isi tareeqay se ki jati hai aik sawal ka jawab dainay ke liye reh jata hai aur woh yeh hai ke woh maloomat kahan se aati hain jo ba zarea tehreer haasil ki jati hain aur jin ko nawisandah kisi mamooli zariya se haasil nahi kar sakta .
Go is ka mukhtasir jawab pehlay darj kar chuka hun magar misaal ke taur par farz karen ke aap maiz (table) kay qareeb baithy hain pencil haath mein hai aur is baat ka intezaar kar rahay hain ke dekhen pencil se kya tehreer hota hai aap ka haath likhta hai ke mein Naseem begum hon mein aaj seh pehar teen (3) bajay qatal kar di gayi yeh qatal 3 admiyon nay mil kar kya hai .
Yeh mantay hue bhi ke aap ke haath nay pencil ko aisa likhnay ke liye harkat di yeh khayaal karna chahiye ke aakhir yeh Itlaah kahan se aayi aap ke dil mein yeh khayaal kaisay peda howa ke yeh Itlaah tehreer ki jaye ke begum Naseem qatal hogayi. ya jo kuch likha gaya is ki aap ke dil ko khabar kaisay hui.
Sirf yahi sawal hai ke jis ka hal daryaft karna hai aur jin science danon nay is qudrati waqooa ki tehqiqaat aur is ki tashreeh karne ki koshish ki un mein se aksar mandarja baala sawal ka jawab dainay se munh chupa gaye aur unhon nay is ko yak-qalam baghair hal kiye huway chor diya .
Mut-addid waqiyat mein yeh taaqat bhi is taaqat se zor-awar maloom hoti hai jo sirf waseelay ya Amal se peda ho sakti hai aisi halaton mein bilaa shubbah kisi berooni taaqat se kaam liya gaya hai jaissa ke aksar jismani Mukashifat mein kya jata hai.
Paighamat Mosool Honay ki Surat
Jo peghamat hamein musool hongay un mein aksar be shak pehlay-pehal khwab ki tarha bay-tukay aur ghair musalsal maloom hongay aur asal baat yeh hai ke yeh pegamaat khuwab he hotay hain mamooli khuwaboon mein aur in mein farq yeh hai ke khayaali duniya mein dekhnay ki bajaaey aap inhen apne haath se qalamband karte hain. magar dono halaton mein aap ki baa-khabri bahalat e khuwab yani ma-tehat baa-khabri he say in paighamaat ya khayalat ka silsila shuro hota hai
Baaz halaton mein silsila waar saaf aur ba-maienay paighamaat tehreer hotay hain. aur mumkin hai ke yeh mamooli paighamaat se ziyada Khaiq hon aur khawab ki manind yeh paighamaat bhi telepathy ( faasla se halaat daryaft karne ka ilm ) ilham ya Roohani Rasal o Rasail ki shahadat detay hain. aksar aamileen ko in ke paighamaat barah e raast Az khud naveesi kay zariya haasil ho jatay hain.
Dunya-e-Roohaniyat ke aksar amilin ki haalat Az khud naveesi ke waqt muraqba ki geherai mein poanch jati hai aur un ko thaamnay ke liye gaddi ya takye kaam mein laaye jatay hain magar aap ke liye shuru shuru mein aisi muraqba ki haalat ko poanch jana na mumkin hai khuwa aap ki tabiyat mein aisa karne ka rujhan bhi kyun nah mujood ho aur likhte waqt aap par neend ka ghalba hojaye ya ongh aanay lagay to aap is haalat ko qubool karlein yani neend maloom hoti ho to foran sojayein mehviyat taari hojane den bay-khudi ki haalat mein pohnch jayen aisi haalat mein
mut-adid achay achay paighamaat masool hotay hain .
Magar munasib yeh hai ke shuru mein yeh haalat kisi tajurbah kar waseelay yani jiski nigrani main yeh amal kar rahay hain ke samnay taari ki jaye jo is muraqba ki kefiyat mein aap ke samnay mujood ho aur jo sawal kare ga jis ka jawab aap ke haath se tehreer hoga .
Az khud naveesi ke shugal ke waqt neend ka aksar ghalba hota hai. lekin yeh zaroori nahi hai ke har shakhs par is ka ghalba ho bohat se aalimon ko jinhen ma-arka aara paighamaat is tareeqay se masool hotay hain kabhi istaghraaq ki haalat se guzarna nahi para. aur nah hi woh is haalat se guzarna chahtay hain woh Az khud naveesi ke waqt shuru se aakhir tak mamooli haalat mein rehtay hain
Jab aap Az khud naveesi ka shugal ikhtiyar kareingay to aap ke haath aur baazu mein bay-hissi ki alamaat numaya honay lagen gi yani is ki quwat e ehsas zael hojaye gi. aur is mein dard waghera kisi cheez ka zara bhi ehsas nah hoga, yeh bairooni asraat se bilkul bay khabar hojaye ga app ko shayad baat ki khabar bhi nah ho aur yeh bhi mumkin hai ke achanak kabhi is ki mojoodgi ka ehsas honay lagay
Aik nihayat umdah tadbeer yeh hai ke aik dost ko apne paas bitha len jo App ki taraf se is ki haalat ka Mushahida karta rahay ga .
Jab aap is az khud naveesi ka shugal karne lagen tu ankhen band karlen aur apna sur jhuknay dein is ke baad apne dost ko bulaa kar is se kahein ke aap ke haath aur baazu mein aahista aahista sui chuboye aur dekhye ke aap ko is ki takleef mehsoos hoti hai ya nahi. aap ko waqai soi chubne ka ehsas nah hoga khuwa kitni he zor se chubai jaye zara bhi khabar nah hogi magar yeh sun kar aap ko taajjub hoga ke soi chubne ki khabar app ke ma-tehat be-khabri walay dil ko hojaye gi kyun kay aksar aisa hota hai ke un halaton mein qalam khud bakhud likh deta hai ke tum mujhe takleef day rahay ho. ya tum nay meri teesri ungli mein soi chuboi ya is qisam ki aur baatein tehreer mein ajayeen gi. jabkay doosri taraf aap bazat khud jahan tak kisi qisam ki baa-khabri ka talluq hai is se bilkul be behra honge .
Yeh yaad rakhna bohat zaroori hai ke is qisam ke doosray pighamon ki tarha Az khud naveesi ko bhi isi qader qabuliat dena chahiye jo fil- waqea is ke liye mouzoon hai .