Tashkhees Per Tawajjah Dein
Tashkhees par tawaja dein, bagair taskhees kay sabab e marz samjha nahi ja sakta aisi surat mai jo bhi ilaj kiya jaaye ga wo andheray mein aik teer he hoga amraz ki tashkhees ilaj se qabal intehai zarori hai. Aisey hi halat mai paish aya aik waqiya yaha pesh kiya ja raha hai.
Raat ko roohaniyat ki taraf se ishara mila keh apni falan bhabhi ko check
( tashkhees ) karen, poocha kya masla hai, kehnay lagey ke paon mein jalan hai, poocha kis wajah se, kehnay lagey ke khud dekh ( tashkhees ) lein .
Subah bhabhee se poocha ke apke paon mein koi jalan waghera hai, kehnay lagi bhai raanoo se aisay jaisay aag nikalti ho .
Un ko bitha kar maroof tariqay kay mutabiq pehlay haath par balisht rakha kar aik amal se tashkhees ki,
Lekin koi asar zahir na huva.
Phir isi tarah baaein ( left ) bazu par tashkhees ki lekin koi asar zahir na huva (arz karta chalu ke jin do amaloo se tashkhees ki thi un par meri achi tarah girft hai)
Thori si fikar lahaq hui lekin phir ALLAH ki taraf se ye baat zehan mein ayi keh pani chakha kar tashkhees ki jaaye.
Lehaza paani par amal parh kar (jis pehlay amal se hath par tashkhees ki thi) Bhabhi ko pinay ka kaha.
Unhon ne pani piya to kuch karwa mehsoos huva, mein ne kaha aur piyein unhon ne aur piya to paani pehlay se ziyada karwa mehsoos huva, mazeed paani pinay par aur ziyada karwahat mehsoos hoi, yaha tak paani is qadar karwa hogaya keh wo pinay ke qabil na raha.
Ye wazeh alamat thi ke jadu ka asar hay. (meri is tashkhees mein paani ka karwahat mehsoos ho jana alamat jadu ki hai. Jab kay baaz tariqoo mein pani ka karwa ho jana alamat jinnat ke asar ki hoti hai)
Raat ko dubara roohaniyat se rabta huva sari tafseel unko arz kardi, unho ney kaha ke tashkhees apki durust hai jadu hi ka asar hai. Mai ne pucha ke hath par tashkhees kiyoo zahir na hosaki, kehnay lagay ke aap ne inka ilaj pehlay kiya tha jis se uper jisam se asar khatam ho chuka hai ab sirf nichlay hissay mai asar baqi hai phir kaha ke aap ka imtehan lena maqsad tha.
Baqol aik baray amil kay keh tashkhees hamesha do teen tariqo se karni chahiye kiyoo keh agar aik tariqay se tashkhees zahir na ho sakay to dusray tariqay se zahir ho, jaisa ke is waqiya mai bayan huva kiyoo keh agar mein us aik tariqay par mukamal etemad kartay huvay bhabhi mohtarma ko keh deta ke koi asar wagera nahi medical masla hai to is se na sirf meri tashkhees galat hojati bulkeh is mai mariz ka nuqsan ziyada hota
Agar bil-farz dusray tariqay se bhi tashkhees zahir na ho sakay to kisi teesray tariqay se dekh lein.
Kio key mera tajarba hai keh baaz auqat na haath par tashkhees zahir hoti hai aur na paani par , bawajood iskay keh aap is tariqa e tashkhees ke amil hotay hain. (ye mera zati tajarba o mushaida hai mutafiq hona zaroori nahi)
To maqsood is tajarbay se yeh hai keh ap kay paas tashkhees ki kaee tariqay honay chahiye kiyoon keh tarkush mein teer jitney ziyada ho utna behtar hai.
Haan agar aap sirf aik hi tareeqay se tashkhees karte hain aur aapka tajarbah Shahid hai ke woh tareeqa 99. 99
feesad durust nateeja deta hai to fabiha. . .
lekin agar aisa nahi to phir mera mashwara yahi hai jo mein ne apkee khidmat mein arz kar diya hai .
chunancha bhabhee mohtarma ko radd e sehar ke taveez istemaal kurwaye jis se unkee jalan khatam ho gayi .
koshish ho gi ke is mauzo par mazeed bhi kuch likha jaye .
amaal tashkhees : –
Upaar jin do aamaal se tashkhees ki gai un mein se aik aayat sehar (قال موسى ما
جئتم به السحر إن الله سيبطله إن الله لا يصلح عمل المفسدين )
amal chaal kaaf hai .
Falammaaa alqaw qaala Moosaa maa ji’tum bihis sihr; innal laaha sa yubtiluhoo; innal laaha laa yuslihu ‘amalal mufsideen
Surah Yunus : 81
pehlay aayat e sehar 11 martaba parh kar hath par dam kia, phir chehel kaaf 7 martaba parh kar dam kiya, lekin
nateeja bar amad nah ho saka phir pani par aayat sehar giyarah martaba parh kar dam karkay tashkhees ki gai to assar zahir ho gaya .
aap ne dekha keh aayat sehar ke zariye hath par tashkhees na hosaki lekin paani par ho gayi amaliyat ka shoba aik tajarabati shoba hai lehaza aamileen hazraat ko un tamam barikiyon ko madd e nazar rakhna chahiye tab ja kar durust nateeja par pouncha ja sakta hai .
In do aamal ayat e sehar o chehel kaaf se koi tashkhees karna chahay to kar sakta hay.
Note:haan agar mariza ka muatasir jagah par kapray ki patti band kar us kapray par tashkhees ki jaati to yaqeenan tashkhees hojati. Lekin is kay liye aik din ka intezar karna parta kiyoon keh wo patti puri raat mariz ko mutasira jaga par bndhi rehti hay.