Maah e Ramzan / Ramadan Kay Amaal , Dua , Naqoosh , Taweezat , Wazaif Wagera…
Maah Ramzan Ul Mubarak kay hawaly se qaraeen ki khidmat main amaal pesh karnay ki sa’adat hasil ki ja rahi hai . Yaqeenan in amaal ko karkay her shakhs apna daman maah e mubarika ki fayyuz o barkaat se bhar lay ga . In mubarak sa’aton main humein bhi apni duaon main zaroor yaad rakhiye ga.
- Jab maah e mubarika ka chand nazar aaye to ” Surah e Muhammad ” ka parhna – Talwar ya bagh ya sabza zar dekhna ya apnay ahl o ayyaal par “Lillahil Hamd” keh kar nazar dalna mubarak sabit hota hai .
- Chand dekhnay kay fauri baad ager ” Surah e fatah ” parhi jaye to IN SHA ALLAH tamam saal farakh dasti hasil rahay gi .
- Hilal e maah e Ramzan dekh kar ager kaha jaaye ” Ya Israfilu Ya Mikaeelu Ya Sattaru Ya Ghaffaru ( apna maqsad dil main rakh kar dohrao ) baad main dua karo , 7 tareekh tak naagha na honay paaye , iskay baad hamesha her maah chand kay pehlay saat dinon main is amal ko mamool bana lia jaye , to doosray ramzan tak chilla poora ho jaye ga , is amal e mubarika ki barkat se Allah Pak aik saal main gani kardega . Bay hud doulat se nawazay ga charon janib se rizq o rozi kay darwazay khul jaingay
Wireless ki tarha insani khayalat aur khabron ka Hasil karna
Yakum maah e Ramzan ( 1st ramzan) ta saat ( 7 ) Ramzan tak namaz e panjgana ki pabandi kay sath baad e faragat e namaz kisi se baat cheet kiye bagair , Ya Hadiyu Ya Khabiru Ya Mateenu Ya Allamul Ghayyub ka aik hazar 1000 martaba vird kia jaye ( yeh vird har namaz kay baad karna hoga) iskay baad sajday main chala jaye aur 3 martaba kahay keh
- Illa Ya’alamu Mann Khalaqa Wahuwal Latiful Khabir
Is amal ko baja laanay walay per saaelin kay dilon kay bhaid bila sawal khul jaingay . Ager tamam Maah e Siyam main 3 haftay tak is riyazat ko jari rakha jaye to zameen o asmaan ki batein munkashif hona shuru ho jaingi . Bohot door door ki khabrein qalb par maanind e wireless uta kareingi
Maah e Ramadan Al-Mubarak ki 14 tareekh Aur taraqqi e Rizq o Barkat Ka Taweez
Maah e Ramadan Al-Mubarak ki 14th ko din main sa’at e Mushtari ka khayal rakhtay huway mandarja zail taweez ( naqsh ) ko chandi ya sonay kay patray par kunda karein aur angoothi main jurrwa lein. Ab is ring ko apnay right hand main pehen lein. Rizq o rozi main bay andaza barkat aur taraqqi kay asbab peda hongay .
Maah e Ramzan ki Nau-chandi Jumerat ka taweez
Maah e Ramzan ki nau chandi jumerat ko mandarja zail taweez ( naqsh ) ko chandi kay patray per kunda karkay tayar karkay pas rakhein to daftar main sath kaam karnay walay aur aala ohdedaran musakhir ho jaingay.
Khayal rahay keh mandarja baala taweez ( naqsh ) quran e majeed main kul huroof e muqataat kay adaad 3285 ka hai . Is Taweez ( Naqsh ) ki chaal murabba atishi ki hai.
Ayam e Baiz Maah e Ramzan Shareef
Dua e Mujeer ager maah e ramzan ul mubarak main 13-14-15 tareekh main parh li jaye to jumla gunahon ki muafi , afaat se hifazat , qarzay se nijat , bimari se shifa , qaidi ki rihai , Hukkam main izzat o abru , ohda main taraqqi , kamayi main barkat aur dushmano , zalimo , jabiro se mukhlisi ka husool hota hai
Qaraeen kay liye Dua e Mujeer in roman pesh ki ja rahi hai .
Subhaanaka Yaa Allaho Ta Aalayta Yaa Rahmaano Ajirnaa Menan Naare Yaa Mojeer
Subhaanaka Yaa Raheemo Ta Aa Layta Ya Kareemo Ajirnaa Menan Naare Yaa Mojeer
Saal bhar main sirf 3 roz ki riyazat aur kaseer fawaid hain her namaz kay baad jitna vird kar saktay hon karein khususan isha ki namaz kay baad kasrat se vird karein.
Jismani dardon ka ilaj – Roohani oil
Juma tul wida ki subah baad e namaz fajr umda khalis roghan e chambeli par awwal o akhir durood shareef 7 baar , surah e wal adiyat 7 baar parh kar dum karein or mehfooz rakh dein .
Jumla e iqsam kay dard e aaza , nazla o zukam , dard e sar wagera main is tail ( oil ) ka istemal karein , In Amraz ka behtareen Roohani Ilaj hai , IN SHA ALLAH fauri faida hoga .