Her insaan ki yeh khwahish hoti hai ke is ki zindagi mein qudrat ke be shumaar khazanay hon. Aulaad yaqeenan aik anmol khazana hai jis ke anay se zindagi ka maqsad aur saleeqa badal jata hai. Beti ho ya Beta dono ke maqam aur ahmiyat se inkaar nahi kiya ja sakta. Beti Allah ki Rehmat to beta Allah ki Nemat hai.
Her insaan yun-he do khazanon ke sath zindagi guzarna chahta hai. Kuch khandano mein beton ko tarjeeh di jati hai aur is ki wajah yeh bataaye jati hai ke insaan ki nasal betay se chalti hai halaankeh yeh log bhool jatay hain ke Allah taala ne Nabi e kareem (sallallahu alaihi wa alihi wasallam) ki nasal un ki beti se chalaayi. Doosri wajah yeh bayan ki jati hai ke beti to aik din shadi kar ke dusray ghar chali jaye gi to beta hamesha walidain ke sath rahay ga aur burhapay mein un ka khayaal rakhay ga.
Hum yahan aik amal paish kar rahay hain ke agar kisi ke haan sirf larkiyan peda hoti hain aur larka peda nah hota ho to in kalimaat ko 21 baar parh kar pani par dam kar ke aurat aur mard dono piyen aur isi din ikat-thay hon, bafazle khuda chnd baar ke amal se aurat haamla hogi aur larka peda hoga .
Aasaan aur sahal amal hai lekin shart yeh hai ke yeh amal isi aurat par kya jaye jo abhi haamla nahi hai. Jo haamla ho chuki hai is ke liye yeh amal kaam nahi day ga. Jab aurat pak haalat mein yani baad-az faraghat haiz ho to yeh amal kiya jaye. Chahain to yeh amal rozana karein ya waqfa waqfa se yeh amal karein. Ya hafta hafta yeh amal kiya jaye ga yeh ta-ayyun aap khud karein aur jab is amal ke nateeja mein aurat haamla ho jaye to phir is amal ko rokkk dein. Yeh Allah ka kalaam hai is ko Allah ne apne Nabi sallallahu alaihi wa alihi wasallam par nazil kiya tha jo quran ki soorat mein aaj hamaray aur apke dilon mein aankhon mein seenon mein gharz yeh ke hamaray khoon mein shaamil hai. Is ki taseer k to kafir aur mushrik bhi qaail hain .
Jabkay mein aur aap is par imaan rakhtay hain aur imaan is cheez par rakha jata hai jo barhaq hain. Allah ka kalaam quran Majeed Bar haq hai , is haq kay agay kabhi baatil nahi thehr sakta, shetan nahi thehr sakta koi marz nahi thehr sakta hai. Is ke asar se hawaon ke rukh badal jatay hain dareaye neel behnay lagta hai moosa nabi (a.s) Allah ko pani mein rasta mil jata hai. Yaqoob a.s ko benaai mil jati hai. Gumshuda Yousuf a.s mil jatay hain .
Yeh woh kalaam hai jis ko parh kar koi Abdul Qadir jilani ban gaya. Koi Moinuddin Chishti ban gaya, Alauddin Ali Ahmed Sabir Kalyari ban gaya koi Nizamuddin Auliya ban gaya to koi Hazrat Bakhtiyar Kaki ban gaya koi Bahauddin Zakariua ban gaya to koi Laal Shahbaz Qalandar ban gaya to koi Rabia Basri.
Phir kyun nah mein aur aap bhi is ko parhein. Is ko samjhain , is ko sunein, shayad isi tarha hamari bhi kayaa palat jaaey, hamari bhi muradain poori hojaaey . Qaraeen jo amal aap ko parhna hai woh zail mein likha ja raha hai is ki tas-hee kisi Hafiz e Quran ya kisi aalim se krwalein taakeh zair zabar ki ghalti ka ehtimal nah rahay .