Muhabbat kya hai
Muhabbat kay baray main yeh kaha jaaey keh yeh aik jadu bhara jazba hai jis ka tajurbah her aik insan is zindagi main karta hai to bay jaa na hoga . Muhabbat 2 insanon ko qareeb laati hai aur donoo ko aik mazboot rishtay main bandhti hai . Aksar yunh bhi hota hai keh hum muhabbat main apnay sathi ko badalna chahtay hain , Darhaqeeqat hamara yeh rawaiyah khood gharzi hai . Hum apnay is rawaiyah se apnay sathi kay ehsasaat ko majrooh kar detay hain jis kay nateejay main hamara saathi kabhi bhi apnay jazbat ka izhar nahi kar paata aur woh inhein dil he dil main chhupa kar rakh leta hai .
Yeh insani fitrat hai keh woh jis ko chahta hai usay zindagi bhar apnay sath dekhna chahta hai . Insan apnay mehboob ka dil jeetnay kay liye din raat bhag daurr karta hai aur din ka chain aur raaton ki nind haram kar leta hai . Aksar yunh bhi hota hai keh Muhabbat ko paa lenay kay baad is per qaym rehna mushkil ho jata hai .
Sharf e zohra main tayar karda Loh e Sharf e Zohra , humaray andar aisay jazbat peda karti hai keh jis se hum apnay sathi kay jazbaat ko thhais pohnchanay se guraiz kartay hain . Yeh Loh durasl insan ko mazeed samajh boojh haasil karnay main muawwin sabit hoti hai aur rishton ko mazboot aur parwan charrhanay main madad deti hai .
Loh e Sharf e Zohra insan main masbat quwwat peda karti hai jis se insan apnay rishton ki qadar karnay lagta hai aur inko kamiyab bananay ki koshish karta hai
Loh e Sharf e Zohra main yeh quwat bhi payi jati hai keh doosron kay dil main aap ki muhabbat paida karday , Ager matloob koi makhsoos fard hai to insan apni muhabbat ko zindagi bhar kay liye apna bana lay .
Loh e zohra izdwaji rishtay main jurray afrad kay liye bohot ziyada lagao aur musarrat ka bais ban sakti hai yeh loh donoo kay dilon main muhabbat ki aag ko hama waqt dehkaati rehti hai
Lekin insan ko is qissam kay amaal karnay se qabl yeh tasalli karleni chahiye keh jisay woh muhabbat ka naam de raha hai kia waqai yeh Muhabbat hai ya nafsaani khwahishat , Yeh zamana pur fitan hai , kisi dosheeza ko dekh kar Muhabbat ka naam letay huway nafsani khwahishat ki takmeel kay liye is qissam kay amaal karna na sirf aap ko musibat main giraftar karay ga bulkeh aagay chal kar zindagi main ja baja muqamat per kaee muamlat main rukawat ka sabab banta rahay ga , lehaza khoob soch samajh kar faisla lein , saath is baat ka bhi khayal rakhein keh kisi makhsoos jagah nikah kay khawahish mand hain aur matloob bhi yehi chahta hai lekin kisi sabab se ghar walay is baat per razi nahi to aisi surat main bajaey matloob ki taskheer kay , un afrad ki taskheer ki jaani chahiye jo aap kay mukhalif hain Insha Allah woh mukhalifat tark kardeingay .
Muhabbat ka jafri amal
Jo Tareeqa yahaan likha ja raha hai yeh un khawateen o hazraat kay liye mufeed hoga jo kisi makhsoos fard ki taskheer chah rahay hon woh afrad jo kisi khas aurat ya mard ki taskheer chah rahay ho ya kisi makhsoos jagah shadi kay khuwahish mand hon bilkhusus muhabbat e zojain kay liye yeh tareeqa nehayat moassir maana gaya hai .
Sharf e zohra kay saeed waqt main aap kisi bhi khas mard o aurat ki taskheer karna chahtay hain to yeh amal muawin sabit hoga .
Amal ko misaal de kar hul kia ja raha hai Misaal per gaur karein , aap bhi is tarha khood kay liye misaal per gaur karkay yeh jafri amal istakhraj kar saktay hain .
Sub se pehlay yeh jaan lein keh is amal main Surah e Taha ki Ayat Number 39 kay akhri kalmaat se Roohani Madad li gayi hai jo keh darj zail hai .
Wa alqaitu alaika mahabbatam minnee wa litusna’a alaa ainee
والقیت علیک محبتہ منی ولتصنع علی عینی
- Naam e Talib + Naam e Walida e Talib = Ahmed Bin Fatima احمد بن فاطمہ Adaad e abjad e qamri = 240
- wa alqaitu kay adaad 547 , alaika kay adaad 130 aur mahabbatam minnee kay adaad 550
Humnay aik naqsh Talib kay naam se bharna hai , humaray pass naqsh e awwal pur karnay kay liye adaad mojood hain pehlay hum talib kay naam ka naqsh pur kar letay hain
Is Naqsh ko pur karnay kay liye aap ko is naqsh ki chaal ka ilm hona zaruri hai , Lehaza pehlay is naqsh ki chaal ko mulahiza kijiye .
Is Naqsh kay chaar daur hain , ya yoonh samajh lein keh chaar hisson main is naqsh ko pur kiya jaata hai .
Naqsh ki chaal ko samnay rakhein , khana e number 1,2,3,4 ( jahaan yeh numbers likhay hain ) ko والقیت kay adaad se pur kiya jaaey ga . والقیت kay adaad 547 hain , in main se aik adad nafi karkay khana number 1 main likhein 546
Khana number 2 main 547 ki jagah والقیت tehreer kiya jaaey ga .
Khana number 3 main 548 , aur khana number 4 main 549 tehreer karkay naqsh ka daur e awwal mukammal kar lia jaaey ga.
Ab humein naqsh ka doosra daur pur karna hai jo keh talib kay naam ka hoga , talib kay naam kay adaad 240 se 2 adad kum karkay
Khana number 5 main 238
Khana number 6 main 239
Khana Number 7 main 240 likhnay ki bajaey احمد بن فاطمہ
Khana Number 8 main 241 tehreer kartay huway naqsh ka yeh doosra daurr bhi mukammal kiya gaya.
Ab iska teesra daur kalma علیک kay adaad se pur karna hai , adad 130 hain
Khana number 9 main علیک
Khana number 10 main 131
Khana Number 11 main 132
Aur Khana number 12 main 133 tehreer karkay yeh teesra daur bhi mukammal ho gaya.
Naqsh ka akhri daur yanay khana 13,14,15,16 محبتہ منی kay adaad se pur karna hai Inkay adaad 550 hain 3 adad minus kiye 547 , Lehaza
Khana number 13 main 547
Khana number 14 main 548
Khana number 15 main 549
Aur Khana number 16 main 550 ki bajaey محبتہ منی
Aein isi tarha matloob wala naqsh pur kiya jaaey ga , main matloob kay naqsh ki misaal nahi doonga , albatta adaad istakhraj kardeta hoon , aap nay sirf naam e matloob o walida e matloob ka khayal rakhna hoga .
Matloob kay naqsh main daur e awwal ولتصنع kay adaad se pur kiya jaaey ga jo keh 646 hain.
Doosra daur naqsh ka Matloob kay naam aur naam e walida kay adaad se hoga ( bin ya bint kay adaad shamil hongay )
Teesra daur علیٰ jis kay adaad 110 hain se pur hoga aur choutha daur عینی adad 140 se pur hoga .
Is naqsh ko chandi ki loh per donoo janib tehreer karein aur aik kaghaz per 2 naqsh aik doosray kay barabar barabar zafran se tehreer karein
Naqsh kay nichay azeemat tehreer ki jaaey gi chandi ki loh kay her do naqsh kay ird gird bhi azeemat likhna hogi jo keh yeh
اللھم یا من خلقت فی السماء الرابعۃ لکا نصفہ من ثلج و نصفہ من النار قلد النارتذیب الثلج ولا ثلج یرافی والنار وھو نیاری بلسان الاقتداربدوح قدوس رب الملائکۃ والروح
اللھم یا من الفت بین الثلج والنار ، الفت بین قلوب عبادک نام طالب مع والدہ نام مطلوب مع والدہ یا اللہ انک علیٰ کل شئی قدیر
Azeemat main jahaan نام طالب مع والدہ نام مطلوب مع والدہ likha hai , yahaan talib o matloob kay naam , naam e walida kay sath tehreer hongay .
Naqoosh ko qawaid e naqoosh kay mutabiq likhein , iskay azlaa قولہ الحق ولہ الملک se qaim karein . Phir charon janib muwakkil aur khuddam kay asmaa bhi likhein .
Ab chandi per kunda naqsh ko garam pani main rakhein , jo doosra naqsh kaghaz per tehreer kiya hai usay is tarha teh karein keh aik naqsh doosray per aa jaaey , is naqsh ko gallay main pehenna hai.
Ager matloob ka pehna hua kapra mil jaaey to ismain yeh naqsh lapait lein , warna koi naya reshmi kapra istemal kar saktay hain .
Doraan e Amal Zohra ka bukhur jalana na bhooliye ga . Is amal ko sharf e zohra kay waqt se qabal tayar karkay iski parrtaal karlein taakeh galati na rahay .
Ager yeh her lehaz se durust tayar kia gaya hai to yaqeen kar lein keh aap ki mehnat raigaan nahi jaaey gi .
Sharf e zohra ka yeh waqt sirf kisi makhsoos fard ki taskheer kay liye nahi , bulkeh is mubarak o mas’ood waqt main maal o doulat , kushadgi e rizq wagera kay liye bhi jafri amaal tayaar kiye ja saktay hain.