Mustehsila e Qurani
Ilm e Jafar ka yeh nayab Mustehsilah azizam Babar Sultan Qadri Sahb ka ataa kardah hai is Mustehsilah ki khoobi yeh hai ke jawab Quran e Majeed Furqan e Hamid se akhaz kya jata hai yeh Mustehsila aik tarha ka Istikhara hai jis se kaam ke karne ya nah karne ki baabat sahi rehnumai haasil ki ja sakti hai is ke ilawa agar husool e jawab ki tamanna ho tu bhi mumkin hai.
Ilm e Jafar Mustehsila e Qurani kay hul ka tariqa
Aaiye qawaid par ghor farmaiye!!! .
Aap apne sawal ko basat e harfi karlein aur un ke adaad abjad e qamri se Istikhraaj karein . Online abjad calculator se yeh adaad hasil kiye ja saktay hain
ab Istakhraaj shuda adaad ko quran e kareem ki kul Surton ki tadaad ( 114 ) par taqseem karein jo baqi rahay woh aap ki mutalliqa surah hai jo is sawal ke mutaliq hai ab yeh dekhein ke is surah mubarikah ki kul kitni ayaat hain jo ayaat ki tadaad hon sawal ke adaad ko un par taqseem kar dein tu aap ki mutalliqa maqsad ki aayat bar-aamad hojaye gi agar yeh aayat kher ki hai tu jawab haan mein hai agar is aayat mein Allah taala ke azaab ka tazkira hai tu jawab nafi mein . Yunh samajh lein keh quran se istikhara hai.
Ab aaiye aik misaal se samjhata hoon .
Ya Aleem: Tahir hasnain bin. . .. .. .. mulazmat kare ya nah ( Ya Aleem Tabreek kay liye likha gaya hai iskay Adaad nahi liye jaingay)
Adaad abjad qamri 1960
114 par taqsim kya baqi 22 rahey
Quran Majeed mein 22nd surah, surah Al Haj hai. jo hamaray mutalliqa sawal se mansoob hai
Surah Al Haj mein kul ayaat ki tadaad 87 hain lehaza adaad sawal 1960 ko 87 par taqseem kya
baqi 10 bachay yani surah Al Haj ki dasvin aayat hamaray sawal ka jawab hai
ذلک بما قدمت یداک وان اللہ لیس بظلام للعبید
Tarjuma: Yeh is ka badla hai jo tairay hathon ne agay bheja hai aur Allah bando par zulam nahi karta
Is aayat mubarikah ko samajhney ke liye sayaq o Sabaaq ke tehat guzishta aayat par bhi ghor kya gaya
Tarjuma hai. haq se apni gardan moray hue taakay Allah ki raah se behkaadey is ke liye duniya mein ruswai hai aur qayamat ke din hum usay aag ka azaab chakhayein ge
Phir daswi aayat hai keh yeh is ka badla hai jo tairay hathon ne agay bheja hai aur Allah bundo par zulum nahi karta
aayat mein wazeh nafi hai .
Mustehsila e Qurani ka Jafri Tariqa
Agar mutalliqa zabaan mein jawab maqsood ho tu Istikhraaj shuda surah ko basat e harfi karlein aur chaar chaar ya saat saat ki tar-ha dein is sitar mein ya tu harf khud Natiq hoga ya is ka Nazira. Hamari mutalliqa Surah “Al-Haj” .
Surah Al-Haj, shuru ki faqat pehli aayat ko basat e harfi kar ke saat saat (7 – 7 ) ki tar-ha di haasilah sitar ko Nazira diya jawab wazeh goya huwa .
Mulahiza farmaiye
یا یھاالناس اتقوا ربکم ان زلزلۃ الساعۃ شی عظیم
سطر مستحصلہ: ل و ن ل ع |
نظیرہ: ض ر غ ض ب |
جوابیہ حروف: ضر غضب |
Jawab kisi tashreeh ka mohtaaj nahi hai