Adad aik ( 1 ) waloo k naam ki khususiyat – shakhsiyat – khoobi o khaami .

Apne naam ka adad jaan-nay kay liye yahaan click karein

Adad 1 ka mukhtasir ta’arruf

Adad 1 hamesha teen adaad ka mufrad ho ga jaisay 10, 19, aur 28. woh log jo kisi bhi mah ki is tareekh ko peda hue hain woh tamam afraad bhi Adad 1 k zair asr hon ge .

Aap ki khoobiyan o khamiyan

aap pur-aetmad, qabil bharosa, Dayanat daar, dosaron ki madad karne walay, khud daar aur jurrat mand, door andaish, guftagu ke aadaab se waaqif, kher o shar ki tameez rakhnay walay, dosti nibhanay walay, mohabbat mein sab kuch qurbaan karne walay insaan hain is ke sath aap maghrour, fuzool kharch, tabiyat mein aawara gardi ka rujhan, sust, dosaron par tasallut jamanay ki khwahish rakhnay walay aur Iqtidaar pasand karne walay hain .

Shakhsiyat

Aap aik purkashish aur jaazib shakhsiyat ke maalik insaan hain. aap is baat ko pasand karte hain ke log aap ke baray mein agar sataishi alfaaz nahi kehte to kam az kam aap ko sataishi nazron se zaroor dekhen . Aap khayaali duniya mein rehne ki bajaye , apne khayalat ko amli jama pehnanay mein magan rehtay hain . Aap hakimana salahiyaton ke maalik hain is liye kisi bhi idaara ka sarbarah ban’nay ke khawahish mand hotay hain . Aap apne halqa e ahbaab par asr andaaz honay ki quwat rakhtay hain. logon ko pehli hi mulaqaat mein mutasir kar letay hain . aap , apne gussa ko qaboo mein nahi rakh paate aur jald hi aapay se bahar ho jatay hain . Dosaron se larnay jhagarnay  aur un par haawi hona aap ki fitrat mein shaamil hai . Jins mukhalif (Opposite gender) ke maamla main aap kaafi kamzor saabit hotay hain.

Dilli mamlaat aur shadi

Aap apni mohabbat ko panay ke liye har mumkin koshish karen ge. Aap ki shadi chahay mohabbat ki ho ya ghar walon ki marzi se aap , apne shareek hayaat ko , apne zair asr rakhna pasand karen ge. Tasallut pasandi ke sath aap apne shareek hayaat ke liye aik hamdard dost aur wafadar insaan saabit honge .

Maal o doulat

Aap ko qudrat nay har woh salahiyat ataa ki hai jis ki wajah se aap jald doulat aur shohrat haasil kar satke hain. aap agar mustaqil mizaji ka muzahira karen to maal o doulat aur kamyabi aap ke qadam chume gi lekin aksar aap aisa nahi karte. aap jitni mehnat se kamate hain isi be dardi se kharch bhi kar dete hain . Apni ghair mustaqil mizaji ke sabab aap zindagi mein woh maqam haasil nahi kar pa rahay jo hona chahiye tha. Aap ko zindagi mein Aala maqam aur behtareen zindagi bananay ke mawaqay zaroor haasil hue hain aur mazeed bhi honge lekin aap apne mizaaj ke sabab ya to un ko kho chuke hain ya phir un se bharpoor faida nahi utha paye .

Sahet o bemari

Aap ki sahet umomi tor par behtar rehti hogi. Aap ke ilm mein yeh baat honi chahiye ke aap ka Adad dil par hukmarani karta hai lehaza  aap ko chahiye keh apne tarz zindagi ki taraf khaas tawajjah dein. Khanay peenay mein tawazun ka nah hona aur jee bhar kar khana sahet ko kharab karta hai aur is ka asr dil par bhi parta hai jis ki wajah se aap ko dil ka aarzah la-haq honay ka andesha ho sakta hai .

Adad 1 ki mashhoor shakhsiaat

Adad 1 ki haamil mashhoor shaksiaat mein rusi hukmaran linn, martin luther , jadeed china ke baani Mao Zedong , Bharat ki wazeer e azam indra gandhi, American saddar Bill_Clinton , mashhoor gulukar Michael Jackson aur shehzadi Diana shaamil hain .

Aap ke Adad se munasibat rakhnay walay Asma-e-Ilahiya

Agar aap ka Adad 1 murakkab hai Adad 10 ka. to phir aap ” Ya Momino ” ka wird karen .

Agar aap ka Adad 1  murakkab Adad 19 ka hai to phir aap ” Ya Rehmano ”  ka wird karen

Agar aap ka Adad 1 murakkab hai Adad 28 ka, to phir aap ” Ya Samio Ya mujeebo ” ka vird apne mamool mein rakhen .

Aap ka saad Nagina (lucky gemstone)

Rubi yani Yaqoot jisay Laal bhi kaha jata hai ka istemaal mufeed rehta hai .