Auj e Shams – Aik Khas Amal

auj-e-shams-2018

To Read This Article In English Click Here

Auj e Shams 2018

Sayara shams ko istlaah e najoom main ” Shehenshah e Falak ” kay naam se pukara jata hai , kyunki nizam e shamsi kay tamam sayaray isi sayaray kay gird chakkar laga rahay hain . Sayara shams quwat o tawanayi o hayat ki baqa aur nashonuma ka mazhar hai.

shams aik saad sayara hai aur burj e asad ka hakim hai . yeh mizaj kay lehaz se atishi hai shams jab burj e hamal kay 19 darja per aata hai to nihayat he saad qisam ki shuaein zameen per dalta hai yeh waqt iskay sharf ka hota hai iskay baad jab yeh sayara burj e sartan kay 20 darja per aata hai to isay auj ki quwat hasil hoti hai sharf kay baad kisi bhi sayaray ki auj ki taqat saad tasleem ki jati hai is saal yeh waqt 11 july 2018 dupeher 1:21 se le kar 12 july 2018 dupeher 2:30 tak hoga . Yeh waqt Pakistan kay standard time kay mutabiq hai .

woh log jo kisi bhi sabab se sharf e shams kay auqat se faizyab na ho sakay hon woh is waqt se mustafid ho saktay hain .

sharf e shams kay is saad or mubarak waqt se her koi faizyab ho sakta hai . is main awam se le kar hukmaran tak aur zindagi kay her shobay se talluq rakhnay walay shamil hain . ager kisi ki taraqqi ruki hui hai or laakh koshish kay bawajood iski taraqqi nahi ho rahi , ager koi bay rozgar hai ya apni qabliyat kay mutabiq mulazimat nahi mil rahi , ager kisi insan ko iskay haq se mehroom kia gaya hai aur woh apna haq chahta hai , muashra main izzat o muqam kay liye , iqtidar ki tawalat kay liye , ya ager aap hukoomat main hain or koi khas ohda ya wizarat chahtay hain , awam o khawas main shohrat or izzat kay khuahishmand hain to shams ki is saadat main tayar karda loh in maqasid kay husool kay liye bohot madadgar hain.

sayara shams ki hesiyat aik badshah ki si hai jis bhi insaan kay pass sharf e shams main tayar karda loh hogi uski aisi izzat o manzilat hogi jaisi kisi hukmaran ya azeem insan ki hoti hai . oopar bayan kiye gaye maqasid kay sath yeh loh her tarah kay jadu o bandish se mukammal tahaffuz bhi ata karti hai , her qisam ki aafat or pareshaniyon main hifazat karti hai .

sayara shams ka talluq din se hai is liye din main jo bhi syara shams ki saat aye is main yeh alwah o naqoosh tayar kiye ja saktay hain. Hum is martaba sayara e shams kay is saad waqt main aik pur taseer loh bananay ka tareeqa pesh kar rahay hain , yeh loh khalis sonay ( gold ) per banayi jaye to fauri taseer zahir karti hai , iskay ilawa is loh ko chandi , sona or tamba mix karkay bhi tayar kiya ja sakta hai . chandi , tamba or golden paper per bhi yeh loh banayi ja sakti hai .

amal tayar karnay sse pehlay aik kamray ko achi tarha saaf karwa lein , kamray main shams se matlooba khushbuyat ko sulgaein . dhaat per yeh naqsh kisi nokdar cheez se kunda karein aur kaghaz per zafran aur aqr e ghulab ki roshnayi se tehreer karein , amal ko sukh rang kay kapray per beth kar tayar karein .

jo loh yahaan pesh ki ja rahi hai yeh kisi bhi kaam yaani rizq, karobar main izafa , kisi bhi maqsad main kamiyabi kay liye , doosron per fatah hasil karnay kay liye or darjat ki bulandi yaani aala ohda kay husool or muashray main bulandi , izzat o muqam hasil karnay kay liye hai . jo naqsh yahaan dia gaya hai aap nay yehi naqsh tayar karna hai jab shams ki saat ka aghaz ho to sonay , chandi ya tambay per kisi nokdar chiz se isay kunda karei . sunehri kaghaz per bana rahay hain to zafran aur arq e ghulab ki roshnayi se tehreer karein . loh ko tayar kartay waqt rajjal al gaib ka khayal rakhein aur sayara e shams se mutalliqa bakhoorat zaroor sulgaein.

sayara shams atishi ansar se talluq rakhta hai isliye yeh loh murabba atishi chal se tayar ki jaye gi , is loh kay adaad tamam afrad kay liye yaksan raheingay albata loh kay nichay aap woh maqsad tehreer karein gay jis maqsad kay liye aap yeh loh tayaar kar rahay hain , maslan taraqqi e darajat , rizq main izafa wagera. aap ki sahulat kay liye murabba atishi ki chaal bhi is mazmoon kay aakhir main pesh ki ja rahi hai taakeh aap bina kisi diqqat kay yeh loh tayar kar sakein .

jab loh ka murabba naqsh tayar ho jaye to iskay bad naqsh kay charon taraf 40 harf ” م”  likhein yaani her taraf م 10 baar likha jaye ga , harf meem kay oopar makhsoos ashkaal banayi jaaein , loh tayar ho jaye to surkh rang kay reshmi kapra main lapait kar kisi mehfooz jagah per rakh dein

aglay din namaz e fajar ada karnay kay baad apni himmat ay mutabiq astaghfar aur durood shareef ka wird jari rakhen , jab suraj tulu ho to loh ko apnay pass rakhein ayat e mubarika
قل اللهم مالک الملک se le kar بغیر حساب  tak 423 baar aur surah wsh shams 9 baar parh kar loh per dum kar dein is ayat aur surah wsh shams kay wird kay awal o akhir main 14 baar durood shareef parhein . iskay baad aap nay 2 rakat namaz qazai hajat ada karni hai , namaz kay baad sajda main sar rakh kar Allah ta’ala kay huzoor dua karein keh main ne jis maqsad kay hasool kay liye yeh loh tayar ki hai aap apni rehmat e khas se mujhe is maqsad main kamyabi ata farmaein , ayat or surah e wsh shams ka wird isi tadad main aap 40 din tak rozana aik he waqt aur jagah per karein gay . 40 din kay baad yeh loh apnay pass rakh lein aur rozana 9 martaba oopar bayan ki gayi ayat aur surah wsh shams parha karein In Sha Allah aap per rizq kaseer kay darwaze khul jayenge aur her muamlay main kamyabi naseeb hogi ya aap nay yeh loh jis bhi maqsad kay liye banayi hai iskay husool kay asbab gaib se peda ho jaingay .

asal naqsh or naqsh e murabba atishi ki chal pesh e khidmat hai

auj-e-shams-2018