Osiris 9 Pendulum Hai Kia ?
Is pendulum ko kayi naamon se puraka aur pehchana jata hai. Is pendulum ke baray main basa auqaat ibham peda ho jata hai. Cheezon ko wazeh karne ke liye hum is pendulum ke asli naam ko hi is mazmoon mein len ge jo is ko bananay walay ne isay diya .
Osiris pendulum 9 ajzaa par mushtamil hai. Is pendulum ko jab is ke tamam yani 9 ajzaa ke sath istemaal kya jata hai to fiza mein aala daraja ki lehron ko peda karta hai. Is pendulum ko do ya teen hisson mein bhi taqseem kia ja sakta hai. Is taqseem ka simple maqsad manfi sabz rang ki zayadti se tahafuz hota hai. Yeh manfi sabz rang radiesthetic colour mein shaamil hai. Is pendulum se paida honay wali barqi qowat mein qudrat nay yeh salahiyat rakhi hai ke yeh sahet aur Shifa ke amal ko har terha ki aloodgi se pak karta hai aur is ke sath jald sahet aur Shifa ko mumkin bhi banata hai. Yeh pendulum insanon aur janwaron ke jism ki saakht aur zaroorat ke mutabiq un mein barqi qowat peda karta hai.
Jo osiris pendulum 9 ajzaa par mushtamil ho ga usay behtareen samjha jaye ga .
Apne qaraeen ki dilchaspi ke liye hum is pendulum ki mukhtasir tareekh ko bayan kar rahay hain. Yeh pendulum osiris nami daiwata ke aizaz mein banaya gaya.
Osiris, isis devi ka bhai aur shohar tha. Osiris pendulum ki hayeat par France ke school vibratory radiesthesia naay bohat tahaqeeq ki. Yeh pendulum radiesthetic manfi sabz rang ki lehron ko jari karne mein musaddiqa muqam rakhta hai. Maazi mein is pendulum se log khauf zada bhi rahay hain kyunkay un ke nazdeek yeh pendulum apne andar yeh quwat rakhta hai ke marnay ke baad kisi bhi murda ke jism ko mehfooz rakhay jaisa ahraam Misar mein bohat saari hanoot shuda laashon se zahir hota hai. Is khauf ki kisi bhi terhan ki tasdeeq nahi ho saki balkay yeh pendulum to insani khulion ko bimaroon ke jaraseem se tahaffuz dainay ke liye inhen saaf karte hain. Is pendulum mein yeh khoobi bhi payi jati hai ke bimarion ko peda karne walay jaraseem ki rok thaam ke sath inhen khatam bhi karta hai jis ki wajah se insaan bimarion ke hamla se mehfooz rehta hai aur jo pehlay se bemaar ho woh is pendulum ki badolat jald sahet yab ho jata hai .
Osiris pendulum ke zareya jari honay wali manfi sabz barqi qowat ko dimagh se jari honay wali lehron ki salahiyat ko barhane ke liye mukhtalif ehkamaat ke sath jari kya jata hai. Ispendulum ke 9 ajzaa ke sath qudrat ki Khalq kardah moasar lehron se bharpoor faida uthaya ja sakta hai. Yeh qudrati barqi laharen kisi maqsad ke husool ke liye mumkin mahol peda karti hain. Is amal se mutaliq kayi sawalaat peda hotay hain jin ko wazeh karna zaroori hai .
Is pendulum se jari honay wali barqi qowat ki laharen mamooli noiyat ki nahi hain balkay yeh aap ki zindagi ko mukammal tor par tabdeel karne aur zindagi mein aik naya jazba peda karne ke sath zindagi ka naya rukh mutayyan karti hain .
Is pendulum ke sath hum adad 9 ki qowat se bharpoor faida utha satke hain. Adad 9 ki khasiyat mein maqsad ki takmeel, maqsad ka husool, kisi khaas maqsad ko haasil karna, kisi kaam ka aaghaz karna, belos mohabbat aur feham o firasat shaamil hain .
Is pendulum ke sath Hermit Tarot card mansoob kya jata hai.
Is pendulum ko sirf un logon ko istemaal karna chahiye jo is maidan mein wasee tajurbah aur maharat rakhtay hein .
Agar aap is pendulum ko alag hisson mein taqseem karna chahtay hain to usay hamesha darmain se alag karen. Agar aap is ko kisi aur jagah se alag karen ge to mumkin hai ke baad mein yeh aap se sahih tarteeb se jarr nah paye. Is baat ko zehan mein rakhen ke aap usay aik din mein tees minute se ziyada hargiz istemaal nahi karen ge. Is pendulum ko husool sahet ke amal ke liye kitney minute istemaal karna chahiye is ke liye minuton ka jadole bana kar pendulum se rahnmayi haasil karen. Agar aap is pendulum ko ziyada istemaal kar baithy hain to phir apni behtari ke liye positive sabz barqi lehar se khud ko qovat den. Positive sabz roshni ke husool ke liye aap universal pendulum ko istemaal karen. Jab usay istemaal karen to zameen par baith kar karen. Osiris pendulm ke ziyada istemaal se peda honay wali manfi qovat se sahet ke liye himalaya namak ko pani mein daal kar ghusal karen .
Aik baat ka khaas khayaal rakhen ke agar aap ne osiris pendulum ko rozana istemaal nahi karna hota to phir usay alag hisson mein rakhen. Is pendulum ko 9 ajzaa ke sath mukammal shakal mein kabhi bhi apni jaib ya sath le kar mat ghumain. Is ko istemaal karne mein bohat ehtiat ki zaroorat hai .
Osiris pendulm ka talluq manfi sabz barqi qowat se hai is liye is ki safai ka khaas khayaal rakhna chahiye. Is ki safai ka aik programme tarteeb day len ke usay hafta ya pandrah din mein aik baar zaroor saaf karna hai. Yeh pendulum tanbah ka bana hota hai aur tanbah ko agar kuch arsa baad saaf nah kya jaye to is ka rang gehra hona shuru ho jata hai. Is ki safai ke liye aap backing sodda aur danoton ke brush ko istemaal karen. Is mein pani hargiz shaamil mat karen .
Aap yeh pendulum idara se buy kar sakte hein.
Big thumbs up for this website