Benefits of ayat e karima – la ilaha illa anta subhanaka inni kuntu minaz zalimin|History | Wazifa | Amal |

benefits-of-ayat-e-karima

Benefits and History of Ayat e karima – La ilaha illa anta subhanaka inni kuntu minaz zalimin

 

Hazrat Al-Yasa (a.s) ke baad bani Israel ki hidayat ke liye Hazrat Yunus (a.s) maboos farmaaye gaye. Quran e kareem mai 6 muqamat par in ka zikar ayah hai, Surah An,am , Surah e Nissa mai ba Silsila e tazkira ambiya sirf naam aya hai, Surah e ambiya, AlSaffat, Alqalam, Yunus in 4 suratoo mai muktasir halaat bayan kiye gaye hain do suratoo main zulnoon aur sahibul Haut yani machli wala kaha gaya hai.

Taurat ke sahifa yunah mai aap ka namm yuna bin umati likha hai. Sahih bukhari ki aik rivayat mai hazrat Abdullah ibne abbas se manqool hai ke yunus (a.s) ke walid ka namm mati tha ya koi khaas farq nahi hai.

Sarkash aur mustamrad ahle nehnava ki hidayat ke liya allah talah ne hazrat yunus (a.s) ko muntakhib kiya aur mansab naboowat se Nawaz ney ke baad nehnawa (Iraq ka mashoor o qadeem city jo abhi karbala az oke naam se jana jata hai) Janay ka hukum diya takay waha reh kar waz o nasiyat ke zariya se logoo ko sahi rastay par lagaiye lekin in ka ehsas ye tha ke sahid mansab naboowat ke bar gah ko na utha sakein chunacha waha se tarseesi Janay walay jahaz mai sawar hogaye rastay mai zabardast andhi aur sakht tofan barpa huva is waqt aap so rahay thay malahoon ne app ko jaga kar suratehal se khabardar kiya,ahle jahaz ko ye khayal guzra ke zaror hum se kisi ne koi gunah kiya hai jis ke badlay mai hum par afat nazil hoi hai chunacha the huva ke qura dala jaiye aur jis shaks ke naam ka qura niklay isey samandar mai paink diya jaiye is tarah yaqeenan tofan tham jaiye ga teeb martaba qura dala gaya aur har martaba aap ka namm nikal hazrat se pucha gaya aap kon hain aur aap se kiya khata sirzad hoi? Hazrat ne apni jaqld baazi ko khata garddanta huvay jawab ya key mai apnay mulk se bhagg kar ayah hun ahle jahaz ne pucha ab tofan ko tehranay ki surat kiya ho?.

aap ne un ke faislay ke paish e nazar jawab diya ” mujhe utha kar samandar mein pheink do tofaan daur hojaye ga kyunkay mein jaanta hon ke yeh tofaan tum par meri wajah se aaya hai ” nah chahanay ke bawajood unhon ne majaburan hazrat Younus ko samandar mein pheink diya, sath hi tofaan ruk gaya, jab aap ko samandar mein phenka gaya to isi waqt inhen aik bohat barri machhli ne nigal liya. ab hazrat ne apni khata ke liye duayen kee. un kalmaat ko hamaray haan ” aayat karimah ” ke naam se bhi mosoom kya jata hai .

Pas apnay parwardigaar kay hukum ki wajah se sabar ko kaam mein lao aur machli walay ( Younus ) ki tarha ( bay-sabar ) nah hojao .
Jab is nay ( khuda ko ) pukara aur woh bohat maghmoom tha agar yeh baat nah hoti keh is kay parwardigaar ke fazl ne is ko ( aagosh ) mein le liya tha to woh zaroor chattil maidan mein malaamat shuda ho kar pheink diya jata pas is kay parwardigaar ne is ko bargazida kiya aur is ko naikoo karoo mein rakha. Surah Al-Qalam

Machli ke pait mein rehnay, hawaa aur khoraak nah milnay ke baais bohat kamzor ho chukay thay
Quran ka bayan hai
Aur hum ne is par ( saya ke liye ) aik bail daar darakht ugaya aur hum ne usay aik laakh se ziyada insanon ki janib paighambar bana kar bheja “ .
Surah Al-Saffat

Waqiya to bohat taweel hai lekin yahan is se ziyada tafseel ki gunjaish nahi.

Hadees mein is aayat e karima ki nisbat farmaya
” Yeh Ism-e-Azam hai jo is ke sath dua keray qabool ho ” .

Ulama farmatay hain ke Aayat e Karima qaboolِ e dua khususan daf-e-bala mein Assar e tamam rakhti hai.
Saad bin Abi Waqas ki hadees mein hai ke ” Rasool ﷺ  ne farmaya keh mein tumhein Allah Ta’ala ka woh Ism e Azam nah bata doon keh jab woh is se pukara jaaye ijabat karay aur jab is se sawal kiya jaaye ata farmaaye woh dua yeh hai jo Younus a.s ne teen tarikiyoon mein ki thi ” .
kisi ne arz kiya Ya Rasool Allah ﷺ !
kia yeh khaas Hazrat Younus a.s kay liye tha? .
Ya sub musalman ke liye hai ?.
Aap ne farmaya, magar tunay Khuda Ta’ala ka  irshad nahi suna keh
Fastajabnaa lahoo wa najjainaahu minal ghamm; wa kazaalika nunjil mu’mineen “.
Surah Al-Anbia Ayat # 88.
Pas hum ne uski pukaar sun li aur usay gham se nijaat day di aur hum imaan walon ko isi tarhan bachaaya karte hain .

Dua-e-Yunus (a.s) ke mutalliq Tarikh o Quran se hum mukhtasaran waqiaat qalamband kar chukay hain.

Ab mukhtalif buzurgan e deen o ulama roohaniyat se Ayat e Karima ke mutalliq jo amaal hasil huway hain inhein mukhtasaran yahaan darj kartay hain takeh har zarurat mand fard apnay masaail mai is Ayat e karima Mubarak ka waseela ikhtiyar kartay huvay apni manzil e Maqsood ko pa sakein.

Ayat e Karima Amaal O Wazifa

Ayat e Karima Amal number #1-
Mushkil se Mushkil Hajat Poori hogi

Nisf shab ke waqt gussal karkey 4 rakat namaz nafal niyat Qaza-e-hajat ada karein
Pehli rakat mai surah Fatiha ke baad
” wa ufawwidu amreee ilal laah; innallaaha baseerum bil’ibaad “ 100x martaba.
Dusri rakat mai surah Fatiha ke baad
100x martaba ” wa ilal laahi turja’ul umoor ” Surah Al-Hadid Ayat #5

Teesri rakat mai surah fatiha ke baad
100x martaba
nasrum minal laahi wa fat hun qareeb; wa bashshiril mu ‘mineen
Surah As-Saff Ayat #13

Chothi rakat mai baad az surah Fatiha
100x martaba 
Innaa fatahnaa laka Fatham Mubeenaa ” Surah Al-Fath Ayat #1

Salam kay baad namaz tamam karkey phir sajda mai chalay jaaye aur 100 martaba parhein.
” Ghufraanaka Rabbanaa wa ilaikal-maseer ” Surah Al-Baqarah Ayat#285
Is ke baad sar utha lein aur dusra sajda karein aur 100 martaba parhain
Astaghfirullah rabbi min kulli zambiyon wa atoobu ilaiyh

Phir sajda se sar utha kar Ayat e Karima 

La ilaha illa anta subhanaka inni kuntu minaz zalimin
ism e azam
100 marta parhain .
Jo hajat ho usey talab karein mushkil se mushkil hajat puri hogi.

Ayat e Karima Kay Wazifay / Amal se Mutalliq Khaas Raaz

Duaye Yunus (a.s) mai aik khas baat ye hai ke dua kis waqt ki gayi yeh dekhein , kis mahool mai ki gayi kia surat-e-haal thi is ko note karein , tafseel to mazmoon ke shuru mai dey di gayi hai mukhtasir yeh ke chunkeh Hazrat Yunus A.S machli ke pait mai band thay is liye band jaga parhein ander tariki thi is liya parhtay waqt chirag gul kardein chunkeh sakhti aur pareshani ke aalam mai dua ki gayi thi aur mahol paani ka tha is liye parhtay waqt paani paas rakhein aur hath bhigo bhigo kar chehray par malein. Amal shuru chaand mai karein.

Ayat e Karima Amal number #2-
3 din main mushkil se mushkil hajat mukammal ho

Yeh amal achanak hajat darpaish honay par to kisi din bhi shuru kar satke hain magar Haftay ( Saturday ) ki shab (yaani jummay ka din guzar kar jo raat aaye ) mein shuru karna ziyada behtar hai. Shab e shamba  mein baad e namaz isha tanhai mein roshni Gul karkay awwal 11 martaba duroood shareef 19 martaba Bismillah shareef ,  is ke baad 1000 martaba
” Ya Badi-ul Ajaaib Bilkhair Ya Badi-oo “
iskay baad 11 martaba durood shareef

Ab Next day yaani haftay ka din guzar kar jo raat aaye gi
darya ya talaab ya hawz ya chashmay ke kinaray is terha bethein ke paaon pani mein rahay
awwal 21 martaba durood shareef
19 martaba Bismillah shareef aur
500 martaba Ayat e Karima …
La ilaha illa anta subhanaka inni kuntu minaz zalimin
ism e azam
Aur phir durood shareef 21 martaba parhein .
Teesray din kisi aisay muqam par jahan sar aur aasman ke darmiyan kuch haail nah ho sar burhena karkay awwal duroood shareef 41 martaba, Bismillah shareef 19 martaba
phir 178 martaba
” Ya Ghayathi inda kulli kurbatin wa mujibi inda kulli dawatin wa munisi inda kulli wahshatin wa ma’aa’zi inda kulli shiddatin wa raja’ii heena yanquti’oo heelati ya ghayathi ” 
Phir 41 martaba duroood shareef .

In Sha Allah 3 dinoo mein mushkil se mushkil kaam bhi poora hojaye ga .

Ayat e Karima Amal number #3 –
Ayat e Karima ka khatam

Is Ayat-e-Karima ko 12 hazaar martaba rozana 12 din tak parhein tareeki ho raat ka waqt ho samnay pani ka piyala ho , aik tasbeeh parhnay ke baad pani mein haath bhigo kar munh par malein . 
Isay aksar halqoo main ayat e karima ka khatam kay naam se bhi jaana jaata hai .

Ayat e Karima Amal number # 4 –
Kaisi bhi hajat ho , is wazifay ko amal main laaein

360 martaba rozana 40 din tak parhein awwal o aakhir 1 tasbeeh duroood shareef , jis matlab se parhein isi niyat se do rakat pehlay namaz nafal parhein is amal mein parhaiz Jalali o jamali lazim hai.
Kaisi  bhi haajat , museebat ya mushkil hogi Insha Allah bar aayegi .

Ayat e Karima Amal number # 5 –
Miyan biwi ki narazgi door karna ya kisi matloob ko bulana maqsood ho 
Yeh amal hub ke wastay hai, miyan biwi kisi narazgi ki wajah se alag hogaye hon aur koi chahay ke phir se aik ho jaaien aur matloob khud bakhud aajaaye ya matloob ko bulana maqsood ho to shuru maah e qamri mein amal shuru karein. Roz ghusal karein aur is ism ko 101 martaba tasawwur e matloob se parha karen to 21 din mein matloob haazir hoga khwaa kitna hi faasla kiyun nah ho .
Bismillahir Rehmanir Rahim . Ya Jibraeeloo Ya Mikaeeloo Ya Israfiloo Ya Izraeeloo Bihaqqi Ya Haiyyu Ya Qayyumu La Ilaha Illa Anta Subhanaka Inni Kuntu Minaz Zalimin , Astaghfirullahu Ya Maalikul Mulku Ya Zuljalali Wal Ikraami Hasbiyallahu Wa Nay-Mal-Wakeelu Wa Nay-Mal-Maula Wa Nay-Man-Naseer . 

Ayat e Karima Amal number # 6 –
Ager Qarz ada na ho raha ho , Ya koi qarz lay kar wapis na kar raha ho 

Agar kisi par aap ki raqam ho aur woh dena nahi chahta ya aap par kisi ka qarz ho aur is ki adaigi ki koi surat peda nah ho rahi ho ya amdani itni nah ho ke is se bacha kar diya jasakay to yeh naqsh kunda karkay apne paas rakhein aur Fajar ki namaz ke baad
Hasbunallahu Wa Nay-Mal-Wakeel 
450 Martaba , Aur baad e namaz e isha kisi muqar-rira waqt per 300 martaba ” Ayat e Karima La ilaha illa anta subhanaka inni kuntu minaz zalimin ” parhein. 
Tariqa wahi apnaaye jo pehlay likha ja chuka hai ( pani wala ) .
akhir mein duroood shareef 11 martaba jab tak yeh naqsh paas rahay ga Qarz ke gham se mehfooz rahein gay aur jab koi zaroorat paish aaye gi Allah taala is ka hul peda farma den ge .
Ayat e Karima ka naqsh yeh hai 

ayat-e-karima-ka-naqsh

Is naqsh ki chaal murabba aatishi ki hai , aik murabba main 3 murabba pur kiye gaye hain . 

Ayat e Karima Amal number # 7 –
Dushman se nuqsan pohnch chuka ho or ab saza dena maqsood ho

Agar kisi shakhs ka koi dushman ho aur nuqsaan pohncha chuka ho aur saza dena maqsood ho to, aik kora, san ( aik poda jis ki chhaal se rasiyaan banti hain ) se tayyar karkay raat ko tanhai mein alehda kamray mein baith kar aik tasweer dushman ki haasil kerein ya farzi tasweer zameen par banalein. Naam ma walida likhay phir is Azimat ko parhein aur aik kora dushman ki tasweer par marein
101 martaba parhein aur itnay hi koray marein.
Dinon ki tadaad nahi apne maqsad ke husool tak amal jari rakhein jab aap ko mehsoos ho ke dushman ko is ke kiye ki saza mil chuki hai to amal ko tark kar dein

Ghain Ya Ghayatho Bihaqqi Ya LauKhaailu Wahdahu Ya Qaharu Uzu Maarid dakkan dakkan saffan saffan Ya Jibraeelu Ya Dardaaieelu Ya Tankaaeelu Bihaqqi La Ilaha Illa Anta Subhanaka Inni Kuntu Minaz Zalimin
amal Jalali hai lehaza khoob soch samajh karein kisi ke sath nahaq hargiz nah karein.

Ayat e Karima Amal number # 8 –
Mulazimat jaa chuki ho Ya kisi nay najaiz kiya ho 

Agar kisi waja se mulazimat chali jaaye aur tum par zulm huva ho to baad az namaz tahajjud Surah e Yusuf parh kar 111 martaba Ayat e karima parhein awal o akhir durood shareef 11 martaba is ke baad nihayat khushu O khuzu ke sath dua mangein.

Ayat e Karima Amal number # 9 –
Qaza-e-Hajat Kay Liye 12 Dinoo ka Ayat e Karima ka wazifa

Awwal wazu karein phir 2 rakat namaz nafal ada karein phir jaa namaz par beth kar 11 martaba durood shareef parhein is ke baad 1000 martaba Bismillahir Rehmanir Rahim  ki tilawat karein. Is ke baad 100 martaba
Allahus Samadi Khuz Bi-Yadi
phir 11 martaba durood shareef parhein
dusray din phir do rakat namaz e hajat ada karein phir 11 martaba durood shareef parh kar 1000 martaba  Bismillahir Rehmanir Rahim ki tilawat karein phir 100 martaba
Salamun Qaulum Mir-Rabbir Rahim parhein aur 11 martba durood shareef.

Teesray din phir 2 rakat namaz e nafal hajat ki ada karein.
11 martaba durood shareef aur 1000 martaba Bismillahir Rehmanir Rahim aur 100 martaba
Fastajabnaa lahoo wa najjainaahu minal ghamm; wa kazaalika nunjil mu’mineen
Surah Al-Anbiya Ayat # 88
Parh kar 11 martaba durood shareef parhein

Panchvein din do rakat namaz nafal ke baad 11 martaba durood shareef
1000 martaba Bismillahir Rehmanir Rahim
aur 100 martaba wa ufawwidu amreee ilal laah; innallaaha baseerum bil’ibaad
phir 11 martaba durood shareef
Chhattay din 2 rakat namaz ke baad 11 martaba durood shareef
1000 martaba Bismillahir Rehmanir Rahim
aur 100 martaba Fa Subhaanal lazee biyadihee malakootu kulli shai-inw-wa ilaihi turja’oon ( Surah e Yaseen )
Aur 11 martaba durood shareef.
Saatvein din hasb e mamool namaz
11 martaba durood
1000 martaba  Bismillahir Rehmanir Rahim ke baad 100 martaba ” Allahu lateefum bi’ibaadihee yarzuqu mai yashaaa’u wa Huwal Qawiyyul ‘Azeez ” ( Surah Ash-Shura Ayat #19 )
phir 11 martaba durood shareef

Aathwein din Namaz durood o Bismillah shareef ke baad 100 martaba ” Inna Fatahna Ya Mufattih
akhir mai 11 martaba durood shareef.

Nawwein din baad az namaz durood o bismillah shareef hasb e mamool , 100 marataba ” Ya Jaami-an-naasu Ya Jaami-oo
aakhir main 11 martaba durood 

Daswein Din
Bismillahir Rehmanir Rahim ke baad 100 martaba ” Fasayakfikahumullahu Wahuwas-sami-ul-Aleem
phir 11 martba durood shareef.

Giyarvein din hasb e mamool namaz durood o Bismillah Shareef ke baad 100 martaba ” Wallaahu ghaalibun ‘alaaa amrihee wa laakinna aksaran naasi laa ya’lamoon ” Surah e Yusuf Ayat # 21
phir 11 martaba durood shareef.

Baarhwein din namaz , durood o Bismillah Shareef ke baad 100 martaba  ” Fada’aa Rabbahooo annee maghloobun fantasir ” Surah e Qamar Ayat # 10
akhir mai 11 martaba durood

IN SHA ALLAH  12 dinoo ke andar aap ki kaisi hi sakht mushkil ya hajat kiyoo na hogi , ALLAH TAALA puri karay ga .
Magar qalb o zuban ka yaksaa hona zaroori hai
ye amal shuru mah e qamri mai itwar ya budh ke roz se shuru karein. Khilwat ho to behtar hai.

Ayat e Karima Amal number # 10 –
Ayat e Karima ka Naqsh e Murabba Zulkitabat Hajat kay qabool honay kay liye

Bara-e-matalib o maqasid kay husool kay liye
Ba wuzu qibla roo beth kar 1000 martaba ye dua har roz naqsh roo baru rakh kar parhein khuda chahay to matlab pura ho.
Naqsh darj zail hai

ayat-e-karima-ka-naqsh-e-murabba-zulkitabat

Ayat e Karima Amal number # 11 –
Qaza e Hajat Kay Liye 4 Rakat Nafal 

Namaz hajat raat ko do bajay ada karein pehli rakat mai 100 martaba Ayat e Karima la ilaha illa anta subhanaka inni kuntu minaz zalimin

Dusri rakat mai Alhamd ke baad ” Ammany-yujeebul mud tarra izaa da’aahu wa yakshifus sooo’a ” . Surah Al-Naml Ayat # 62

Teesri rakat mai Alhamd shareef ke baad 100 martaba ” Hasbunal laahu wa ni’malwakeel ” ۔ 

Chothi rakat mai baad az Alhamd 100 martaba ” Wa ufawwidu amreee ilal laah; innallaaha baseerum bil’ibaad ” .

Jab salam pher lein to apnay sar ko daaien ghutnay par rakh kar 100 martaba kahein ” Annee maghloobun fantasir ” .

Phir baaein ghutnay par sar rakh kar 100 martaba kahein ” Annee massaniyad durru wa Anta arhamur raahimeen ” . Surah Al-Anbiya Ayat # 83 . 

Is ke baad 3 martaba durood shareef parh kar sajda mai jakar aajizi ke saath dua karein IN SHA ALLAH hajat aur mushkil hul ho jaaye gi .

Ayat e Karima Amal number # 12 –
Ayat e Karima Ka Sari-ul-asar Khatam

Yeh Ayat e Karima har mushkil o har matlab ke liye mufeed hai aur
sari-ul-asar kamalat ki hamil hain.

Tariqa ye hai ke har roz 12000 martaba 12 din tak parhein aur agar aisa na ho sakay to 1200 martaba 40 din tak parhein awal o akhir chand martaba durood shareef parhein. IN SHA ALLAH matlooba kaam mai kamyabi hasil hogi is ke ilawa baaz ullama farmatay hain ke 125000 ki tadad ko 11 roz mai khatam karein ( aap apni sakkat ke mutabiq dekh lein ke rozana kis qadar parh saktay hain ) IN SHA ALLAH kaisi hi mushkil kiyoon na ho Allah nijat de ga .

Ayat e Karima Amal number # 13 –
Koi ruka huwa kaam ho jiskay poora honay kay zahiri asaar nah hon

Ager kisi ka koi zarori kaam ruka huwa ho aur is ke poora honay kay zahiri koi asar nah ho to 4 rakat namaz Nafal 2 salam ke sath maghrib ki namaz ke baad parhein, har rakat mein Alhamd shareef ke baad Ayat e Karima 100 martaba yani 4 rakat mein Ayat e karima ki tadaad 400 hogi.
Aur  apne maqsad ka dil mein khayaal rakhein.
7 roz is tarhaa karnay se mushkil se mushkil kaam bhi poora hojaye ga .

Ayat e Karima Amal number # 14 –

Parhez Jalali o jamali o tark hewanat o deegar sharaait e muqar-rera jo dawat Asma o ayaat ke liye makhsoos hain malhooz e khatir rakhein.
Jagah , waqt, Tahaarat e zahiri o baatini aur khulus e niyat , libaas o hisaar ka ahtemam ke sath urooj mah e qamri mein jumerat say roza rakh kar shuru karein awal o akhir duroood shareef 11 martaba
andheray mein baith kar 3200 martaba rozana parhein chunkay yeh amal nihayat garam hai
is liye lazim hai ke pani ka aik pyalaa paas rakhein aur har aik tasbeeh ke baad haath bhigo kar munh par phairein aur 1 martaba duroood shareef parhein taakay amal ki garmi kum ho .
Amal kay dauran siwaye jau ki roti kay aur kuch nah khaye aur nah hi dauran e amal dar o khauf ko apne paas anay dein aein mumkin hai keh aap ko dauran e amal mukhtalif daraoni ashkaal o Haibat naak manazir dikha kar darane ki koshish ki jaye. Dil ko mazboot rakhein
aayat ko is terha parhein .
” Bismillahir Rehmanir Rahim La Ilaha Illa Anta Subhanaka Inni Kuntu Minaz Zalimin Ya Haiyyu Ya Qayyumu Zaljalali Wal-Ikraam Bi-Rehmatika Astaghithu “

Note : mandarja baala amaal mein aksar maqamat par ayaat e qurani Roman main tehreer ki gayi hai amal shuru karne se qabal mutalliqa aayat ko Google search engine se talaash karkay araab waghera mulahiza kiye ja satke hain .
mukhtalif  amaal mein likha gaya hai ke 4 rakat namaz haajat ada karein , khayaal rahay ke 2 salam se 4 rakat poori karna hain .
akhri amal sirf wohi afraad karen jo is qisam ke amaal karte rahay hon, mubtadi hazraat hargiz hargiz is amal ko nah karein .