Roohanialoom kya hai?
Roohani aloom un afrad k liye yaqeenan aik naya naam hoga jo haliya he is web per tashreef laaey hain lekin who afrad jo jamal e jaffer kay baray main jantay thay ya visit kartay rahay hain who bakhoobi jantay hain keh jamal e jaffer ka naam roohani aloom main tabdeel kiya gaya hai .
Jamal-e-Jaffer Aur Roohanialoom – Softwares
October 2004 main online roohani magazine jamal e jaffer pakistan pehli martaba internet ki duniya main publish kia gaya , 2009 tak ilm e jafar , ilm e ramal , ilm ul aadaad , ilm ul naqoosh , ilm ul haziraat , taskheerat e arwah , maraqba , telepathy , hypnotism , mesmerism , ilm e jafar akhbar o asaar , ilm e najoom , huroof e sawamat , amaliyat o taweezat wagera per behtreen mazameen haya kiye gaey . is doran na sirf androon e mulk bulkeh beroon e mulk se bhi senkro ki tadaad main logo nay apni pasandeedgi ka izhar kia . jahaan jahaan roohani uloom ko jaded andaz main pesh kiya wahaan in uloom main asaani peda karnay kay liye idaray ki janib se mukhtaleef softwares bhi mutarif karwaey gaey jin main istakhraj e sa-aat, talay waqt ka istakhraj , aur ilm e jafar kay mustehsilat kay chand softwares thay .
Online Magazine kyun kaha gaya
Web per her maah makhsoos quantity main articles 5 – 10 tareekh tak update kar diye jatay thay jis kay bais web aik online magazine ki surat main tabdeel ho gayi . kaee logon ne makhfi uloom seekhnay ki khuahish zahir ki jis kay pesh e nazar institute of occult sciences ki buniyad rakhi gayi .
Amaliyat o Taweezat per Sadiyon purani nayab books
Isi doran muft main ilmi khazanay lutanay per mujh per kafi dabao bhi raha keh is silsilay ko bnd kar kia jaey shayad in hazrat ko is tarha aloom e roohaniyat ki nashar o isha’at pasand na aayi lekin hum nay himmat harnay ki bajaey mazeed tawajjah mehnat or lagan se silsila jaari rakha , aloom e roohani kay farogh kay liye mehnat shuru kar di aur is tarha online roohani book store ki ibteda ki . jis main sadiyo purani arabi, farsi aur urdu ki nayab o nadir kutub ka zakheera pesh kia gaya In books main ilm e jafar , ilm e ramal , amaliyat o taweezat, ilm e naqoosh , tasawwuf, hikmat or deegar kaee mozooa’at per nayab kutub mojood theen goya jaded science or qadeem uloom kay baham ishterak se uloom e roohaniyat ko aik naya libas pehnanay ki koshish ki gayi .
Bil-Aakhir chand wajoohat ki bina per jamal e jaffer Pakistan ka silsila bnd karna para aur qaraeen nay us waqt 3 maah tak bari shiddat se mazameen ka intezar kia . Jamal e jaffer apni noiyyat ka aik jamea naam tha lekin is main aik khami bhi thi keh naam kay lehaaz se faqaf Jafri aamaal or jafri hul he pesh kiye Janay chahiye thay . chunancheh aisa naam tajweez kia gaya jo tamam uloom e roohani ko apnay ehaatay main liye huway ho . Lehaaza web ka naam he roohani aloom tajweez kia . Is doran humne internet ki duniya main bhi aik wazeh tabdeeli mehsoos ki jahaan logon ne aloom e roohaniyat main dilchaspi lena shuru ki wahin chand ahbab aur sahib e ilm hazrat nay bhi aloom e roohaniyat per urdu zaban main web pesh ki. Jo yaqeenan aik khoosh aaind amal hai lekin chand websites nazron se aisi bhi guzreen jin kay banana walon nay humari he web se ta’arufi jumlay apni web per naqal karliye humein un se koi shikayat nahi lekin likhnay walay aik jumla bhi apni janib se tehreer main tabdeel na kar paaey yaqeenan yeh baat unki ilmi qabliyat ko wazeh karti hai. Humara web ko bananay ka maqsad aur wajah ab bhi wahi hai jo jamal e jaffer ko pesh kartay waqt tha phir bhi wazeh kar dein keh Mojooda dour information technology ka dor hai aisay main jahaan deegar uloom per research ki ja rahi hai wahaan zaroorat is amar ki bhi keh sadiyon puranay humaray aslaf kay uloom per bhi jaded tehqeeqat ki jaaein.
Daur e Jadeed Aur Roohanialoom
Humaray is daur e jadeed main aloom e roohaniyat ko sirf toham parasti main he shumar kia jata hai . aisa kiyoon hai shayad is ki wajah woh amileen bhi hon jin ki wajah se yeh pak ilm bdnaam ho raha hai . aksar dekha gaya hai keh footpath per bethnay walay jinhein Allah ka naam tak lena nahi aata who bhi roohaniyat main kamal kay daway-dar nazar aatay hain . logon kay zehnoo main sifli amaal , sehr o jadu , jafar o najoom , noorani aamal ya totkay wagera jadoo ki he fehrist main shumar hotay hain. Humaray haan amaliyat ki jo kutub dastyab hain un main bhi naqal dar naqal ka silsila is qadar zor pakar chuka hai keh ab un ki tas-hee karna bhi bohot mushkil ho kar reh gaya hai , aisay main yeh bhi dekha gaya hai keh aksar hazaat bazar se do chaar kitaab kharid kar laatay hain aur amil ban jatay hain.
Kia dar haqeeqat amil banna itna he asan hai
Kia dar haqeeqat
uloom e roohani ka husool is qadar asan hai ?
Hum koshish kar rahay hain or yehi hamara maqsad hai keh woh haqaeeq qaraeen kay samnay laein jaein jin se haqeeqat samjhi ja sakay, humaray mulk main beshtar amileen nay ijazat denay kay silsilay ko kamai ka zariya bana rakha hai kia waqae who ijazat denay kay mijaz bhi hain ?
Aisay beshumar haqaeeq ko be-naqab karnay ki koshish ki jaey gi keh jin kay parhnay kay baad aap ko haqaeeq e aloom e roohani samajh aa sakein.
Web per shaya karda tamam amal ki her talib e ilm ko ijazat hai
kisi qari ki samajh main koi baat na aa sakay to bila daraigh rabta karkay muft maloomat hasil kar sakta hai .
Mojooda Halaat – Roman-urdu ki Zarurat kyun pesh ayi ?
Jo Na-Insafi is Pak ilm kay sath maazi main print media kay daur main hoti rahi , uska silsila aaj bhi internet ki surat main dekha ja sakta hai , Jab se duniya main youtube ka craze barha , logon nay sirf apnay naffay ki khatir bay sar-o-pa ki videos upload karna shuru kardi , chahay kisi ka nafa ho ya na ho uploaders ko lazim nafa ho , koi aik din main hamzad ki taskheer karwata nazar aata hai to koi 3 minute main matloob ko qadmon main dalnay kay tareqay bayan karta nazar ata hai , kamal ki baat yeh hai keh in main se kaee uploaders kay blogs banay huway hain jahaan humari he web se article utha kar publish kiye gaey hain , doosra inhonay faida yeh uthaya keh yeh articles choonkeh urdu language main likhay gaey thay inhee articles ko roman urdu main apnay apnay blogs per publish kia gaya keh is waqt duniya main roman urdu ya hindi keh lein , ki ziada demand hai . Aik taweel arsay ki khamoshi kay baad humaray kaee karam farma’on , doston kay bar bar kehnay per Roohanialoom.com ko ab roman urdu main bhi publish kia jaey ga . Duniya main kaee aisay log hain jo urdu / hindi samajh saktay hain lekin parh nahi saktay yaqeenan ab woh bhi Roohanialoom se bharpoor istafada hasil kar sakeingay .
Khaas Guzarish
Woh tamam ahbab , jo roohani uloom main zauq rakhtay hain , woh in uloom ko proper tareeqay se seekhein , iskay baad kisi saeel ko mashwara dein , Yaqeenan aap ki mehnat , lagan or riyazat aap ko is qabil bana degi keh aap kisi bhi saeel ki ilmi e’anat kar sakein.